Tuesday, November 22, 2011

Kia poochtay ho....?

Kia poochtay ho tere hijar main kia sochtay hai
Saja k tum ko nigahon main sada sochtay hain

Tere wajood ko chu kar jo guzarti hai kabhi
Hum uc hawa ko bhi jannat ki hawa sochtay hain

ye apne zarf ki had hai ya faqat tera lehaaz
Tere sitam ko muqadar ka likha sochtay hain

Mera uc shehr_e_adawat mein basera hai jahan
Jahan log sajdom mein b logon ka bura sochtay hai

Poochte hain Log....

Meri ghazal ka unwan poochte hain log
"Dil mai kon rehta hai naam poochte hain log"

Chor kar chalagaya mujhko akela shehar mai
"kitnay mai bik gaya dam poochte hain log"

Main sang dil tha yah wo harjai
"Ek yehi baat sar-e-aam poochtey hain log"

kal kia hoga mujhey khud khabar nahi
"Meri muhabbat ka anjam poochte hain log"

Mujh Se Poochte Ho Kia...???

Mujh Se Poochte Ho Kia Zindagi K Bare Me
Aajnabi Batay Kia Ajnabi K Bare Me

Aaraz Sirf Itna He Dosti Ke Bare Mein
Aadmi Ghalt Samjha Adami K Bare Me

Ghair Ko Bura Keh Doon Ghair Tu Nhi Aesa
Aap He Se Shikwa He Aap Hi Ke Bare Mein

Bewafa Kaha Mujh Ko Aap Ne Baja Lekin
Is Terha Nhi Kehte Her Kisi Ke Bare Mein

Ye Ghareeb Logo Ke Gher Se Door Rehti He
Tijurba He Ye Mera Chandani Ke Bare Me

Tuesday, November 15, 2011

Wo de raha hai dhalasay ...

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe
bicher na jaye phir kahien udass ker ke mujhe


jahan na to na teri yadoon ke qadam hoon gay
Dara rahay hain wohi Merhalay safar ke mujhe


hawaye dasht mujhe ab tu ajnabi na samjh
ke ab to bhool gay rastay bhi ghar ke mujhe


yeah chand Ashk bhi tere hain sham-e-gham lekin
ujalnay hain abhi haal-o-khud seher ke mujhe


Dil-e-tabha tere gham ko Talnay ke liye
Suna raha hai fasanay idher udher ke mujhe


Kuch is liye bhi main us se bicher gaya Mohsin
Wo door door se dekhay tehar tehar ke mujhe

Saturday, November 12, 2011

TERI sanson main

TERI sanson main gulabon ki mehak lagti hai
Hussan js rang main ho TERI jhalak lagti hai

Sham hoty he nigahon main uter atay ho
Dil ki dharkan TERE pairon ki dhamak lagti hai

Jaisy guzra ho abhi tu MERE darwazy se
Ab hawa b TERE sans ki khanak lagti hai

kisi barish k barasty he jo ghir aati hai
TERI ankhon main wo rangon ki dhanak lagti hai

Jany kiun wo MERI ankhon ko bhala lagta hai
Jis k chehry pe zara TERI jhalak lagti hai.

Safar mein apne hissay ki musafat yaad rehti hai

Safar mein apne hissay ki musafat yaad rehti hai
kahin abad hone par bhi hijrat yaad rehti hai

wo chahe dosti ho dushmani ho ya muhabbat ho
yahan har haal mein apni zarurat yad rehti hai

kisi sehra ko pyasa chor jata hai kabhi darya
kabhi pyasay ko darya ki sakhawat yad rehti hai

yeh sach hai pyar sucha hi basa rehta hai sanson mein
ye sach hai umar bhar suchi muhabbat yad rehti hai

Sham K Sanwle Chehre Ko Sanwara Jaye

Sham K Sanwle Chehre Ko Sanwara Jaye
Kyun Na Sagar Se Koi Chand Ubhara Jaye

Raas Aya Nahi Taskeen Ka Sahil Koi
Phir Mujhay Pyas K Darya Main Utara Jaye

Meharbaan Tere Nazar, Tere Adayen Qatil
Tujh Ko Kis Naam Se Ay Dost Pukara Jaye

Mujh Ko Dar Hai Tere Waade Pe Bharosa Kar K
Muft Main Ye Dil Khush Feham Na Maara Jaye

Jis K Dam Se Tere Din Raat Darakshan The “Qateel”
Kese Ab Us K Bina Waqt Guzara Jaye

Diyaar-e-Gher Main Kese Tujhay Sada Dete

Diyaar-e-Gher Main Kese Tujhay Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhay Ganwa Dete

Tumhi Ne Hum Ko Sunaya Na Apan Dukh Warna
Dua Wo Karte K Hum Asman Hila Dete

Hamen Ye Zaum Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Baar Hum Sada Dete

Wo Tera Gham Tha K Taseer Mere Lehje Ki
K Jis Ko Haal Sunate Usse Rula Dete

Tumhe Bhulana Hi Aw’val To Dastaras Main Nahi
Jo Ikhteyaar Bhi Hota To Kya Bhuladete?

Tumhari Yaad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Aanso Rahe Sada Dete

Samanto Ko Main Ta Umer Kosta “Wasi”
Wo Kuch Na Kehte Mager Hont To Hila Dete

Bechen dil sene main

Bechen dil sene main meray reh reh kar teri yaad aati hai
Wo chashm-e-Siyah jadu ki bhari, ankhon main mere phir jati hai

Ay hasrat-e-Wasl, Khuda k lye bechen na kar itna mujh ko
Kyun zakham bani hai dil main mere, kyun rooh ko yun tarpati hai

Tum us k juda hojane ka “Akbar” na karo kuch runj-o-alam
Hai jaan si pyari kon si shay, Insaan se yehi chut jaati hai

Na bhuja chiragh-e-Diyaar-e-dil

Na bhuja chiragh-e-Diyaar-e-dil, Na bicharne ka tu malal kar
Tujhay degi jeene ka hosla, Mere yaad rakh le samhal ka

Ye bhi kya k aik hi shaks ko, kabhi sochna kabhi bhoolna
Jo na bujh sake wo diya jala, Jo na hosake wo kamaal kar

Gham-e-Aarzu mere justuju, main simat k aagaya rubaru
Ye sakoot-e-marg hai kis lye, main jawab don tu sawaal kar

Tu bichar raha hai to soch le, tera sath hai mere zindgai
Tujhay rokna mere maut hai, mere bebasi ka khayal kar

Ye jo ek saat-e-wasl hai, sar-e-saat-e-zehan jami hue
Issi ek saat-e-wasl ko kabhi maah kar kabhi saal kar

Mere dard ka, mere zabt ka, mere bebasi, mere sabar ka
Jo yaqeen na aaye to dekh le, tu hawa main phool uchaal kar

Tere sarhado pe main kyun rukon, mujhay rok mat mujhay jane de
Mere saari umer safar ki hai, mujhay is qadar na nidhaal kar

Jo khushi mile, wo kabool kar, mujhay chor de mujhay bhool ja
Main hon “Jazib”-e-sitam aashna, tu bas apne ghar ka khayal kar

Abar-e-Baraan K Iraade Bhi Pur Israar Se Hain

Abar-e-Baraan K Iraade Bhi Pur Israar Se Hain
Aaj Barse Gi Ghata khul K Ye Aasaar Se Hain

Loog Aatey Hain Thehartay Hain Chaley Jatay hain
Apne Halaat Bhi Ujrae Hue Bazaar Se Hain

Wo Agar Chahe To De Sharf-e-Mulaqaat Mujhe
Sab Umeeden Meri Wabasta, Mere Yaar Se Hain

Ye Zarori To Nahi Jeet Mus'sarat Bakhshe
Aasi Khushiyan Bhi Hain, Milti Jo faqat Haar Se Hain

Sar Ba-Kuf Ho Ke Tere Koochy Ko Chal Nikla Hon
Azam To Pakke Magar Raste Dushwar Se Hain

Mere tashnagi ka khayal kar

Mere tashnagi ka khayal kar main udaas hon mujhay dekh ja
Mere bebasi ka malal kar, main udaas hon mujhay dekh ja

Main tere khayal k dasht main sabhi raston se guzar gaya
Tu mere gham ka khayal kar, main udaas hon mujhay dekh ja

Ye tere sitam, ye tere karam, na mujhay or zauq-e-junoon de
Mera chalna yun na muhaal kar, main udaas hon mujhay dekh ja

Mera zard chehra hai kis lye, Ye makaan ujra hai kis lye
Na tu mujh se aise sawal kar, Main udass hon mujhay dekh ja

Saaf jab tak na tere zehen k jalae hon gay

Saaf jab tak na tere zehen k jalae hon gay
Kese tehreer mohabbat k maqalay hon gay

Kya humain neend bhi aaye gi teri khuwahish par
Kya faqat khwab hi hum dekhne walay hon gay

Is tarah dasht_e_mohabbat se guzar jaon ga
Jism zakhmi na mere paon main chaale hon gay

Kese ho gi meri chaht ki amanat mehfooz
Us ne ab tk mere khat kese sambhale hon gay

Ghar k andr bhi koi mujh pe tawajjah deta
Ghar k bahir to kayi chahne wale hon gay

Jab masihaai ki tareekh likhi jaye gi
Us mai shamil mere zakhmon k hawale hon gay

Hamari tarah koi dusra hua bhi nahi

Hamari tarah koi dusra hua bhi nahi
Wo dard dil main rakha hai jo ladawa bhi nahi

Ussi ko dekhti rehti hain chashm-e-shokh madam
Jo gham abhi sar-e-shakh-e-alam khila bhi nahi

Hamara dard ajab marhale main hai k jahan
Wo besukhan bhi nahi, or lab kusha bhi nahi

Junoon-e-ishq ya zanjeer-e-gham samhale rakh
Jo ye nahi, to aaghaz-e-aashna bhi nahi

Idher dua ki sama’aton ka riwayati asmaan bhi chup

Idher dua ki sama’aton ka riwayati asmaan bhi chup
Idher sisakte hue labon ka barhana, tarz-e-bayaan bhi chup

Na jaane kin khuwahishon ki shiddat ka shor kamre main gonjta tha
Na jaane kya keh gaye hawa, hogaya khali makaan bhi chup

Naye ruton ne hawa ki ru se na jaane kya saaz baaz karli
K sabz sadiyun se goonjti arahi nida-e-azaan bhi chup

Kahin koi sar phiri nida parda samaat bhi noch dale
Magar kahin dasht-e-samaat se ehtajaji zubaan bhi chup

Pukarta tha panah le le koi bhi saye main mere “Aazar”
Thi dhoop aise hamare sar pe k hogaya sayebaan bhi chup

Parho Ge Khat Kabhi Mery

Parho Ge Khat Kabhi Mery Kabhi Tasveer Dekho Ge
Kabhi Haathon Mein Jo Likhi Hai Wo Tehreer Dekho Ge

Likho Ge Kuch Hatheli Par Parho Ge Kuch Kitabon Mein
Nazar Aayen Ge Hum Tum Ko Sawalon Mein Jawabon Mein

Kabhi Aansu Bahao Ge Kabhi Tum Muskurao Ge
Kisi Se Kuch Kaho Ge Tum Kisi Sy Kuch Chupao Ge

Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungnao Ge
Hum Utna Yaad Aayen Ge Humen Jitna Bhulao Ge

Yun lagta hai

Yun lagta hai usne mujhe kuch yun dua di hai
Jese kanton main Khuda ne pholon ko panah di hai

Yun aawaz di thi usne bicharte waqt mujhe
Sehra main jese kisi musafir ne sada di hai

Dekh kar qismat ko yun lagta hai ab mujhe
Muqadar ne jese kahin bewaja saza di hai

Ghalat hai agr dunya main kisi ko chahna yaron
To zindagi main hum ne bohat bari khata ki hai

Loutna mumkin nahi ab yahan se kabhi
K kisi ki khatir main ne apni hasti bhula di hai

Koi dhunla sa ik chehra


Koi dhunla sa ik chehra mere ankhon main rehta hai
Koi bhatka sa ik jugno mere khuabon main rehta hai

Aik manoos se awaaz mujhay sone nahi deti
Koi uljha sa ik jumla mere baton main rehta hai

Hai kis k shabnami anchal ki khusbu ab talak mujh main
Koi ehsaas mehka sa mere sanson main rehta hai

Mujhay khud per nahi kabu na main kuch bol sakta hon
Asar ye kis k lafzon ka mere baton main rehta hai

February ki khushk raten mujhay beechen rakhti hain
Lams ik hath ka ab tak mere sochon main rehta hai

Hia dil bhi muztarib ehsaas bhi sochon ki uljhan bhi
Yeh kis ki ankh ka aasnso mere ankhon main rehta hai

Saharay choot jate ho to kuch acha nahi lagta

Saharay choot jate ho to kuch acha nahi lagta
Kinaron roth jate ho to kuch acha nahi lagta

Baharon se ladhe pholon, tumhe to zindagani ho
Magar jab sokh jate ho to kuch acha nahi lagta

Ay mere dil tumhari har ada sar ankhon pe mere
Magar jab toot jate ho to kuch acha nahi lagta

Mujhay mujh se churate ho to sab kuch khuab lagta hai
Magar jab roth jate ho to kuch acha nahi lagta

Tum aate ho to har lamha tumhare husn main doobe
Magar jab laut jate ho to kuch acha nahi lagta

Tumhara hi yaqeen mujh ko shaoor-e-zindagi bakhshe
Kabhi tum dagmagate ho to kuch acha nahi lagta

Mere lafzon main rehte ho to lamhe jhoom jate hain
Kisi k geet gate ho to kuch acha nahi lagta

Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi....

Ye Jo Berukhi Hy Baja Nahi,Ye Adayen Kyon,Ye Ghuroor Kya?
Ye Guraiz Kis Liye Is Qadar,Ye Khafa Khafa Se Huzoor Kya?

Tjhe Yad Krna Mzaaq Tha,Tjhe Bhool Jana Azab Hai
Ye Saza Hai Jurm-e-Firaaq Ki, Mere Hafzey Ka Qasoor Kya?

Tere Saath Hai Jo Teri Ana,Mere Saath Mera Naseeb Hy
Mujhe Tujh Se Kesi Shikaytein,Tujhe Khud Pe Itna Ghuroor Kya?

Ye Tmhara Chehra Kitab Hai,Isy Parh Raha Hun Main Warq Warq
Zara Baat Saada Likha Karo,Ye Muhawron Ki Satoor Kya?

Ik baar jo milta hai dubara nahi milta

Ik baar jo milta hai dubara nahi milta
Itni bari dunya main koi hamara nahi milta

Kis ko banayen apni zindagi ka hamsafar
Hum ko kahin se ishara nahi milta

Har rooz naye naye loog milte hain
Magar koi bhi jaan se piyara nahi milta

Gham k bhanwar main aise phasi hai naao
Pareshan hai is kadar k kinara nahi milta

Muddat k baad tere gali main aaye hain
Ab kis se pochen k tumhara ghar nahi milta

Hum ko to gardish-e-Halaat pe rona aaya...

Hum ko to gardish-e-Halaat pe rona aaya
Rone wale, tujhay kis baat pe rona aaya

Jee nahi, ap se kya hum ko shikayat hogi
Haan mujhay talkhi-e-halaat pe rona aaya

Kitne betaab the rim jhim main piyenge lakin
Aaye barsaat, to barsaat pe rona aaya

Husn ne apni jafa pe bahaye aanso
Ishq ko apni shikayaat pe rona aaya

Kitne anjaan hain k saadgi se pochte hain
Kahiye! Kya mere kisi baat pe rona aaya

Aw’wal aw’wal to ik aah nikal jaati thi
Aakhir aakhir to mulakaat pe rona aaya

“Saif” ye din to qayamat ki tarah guzra hai
Jane kya baat thi, har baat pe rona aaya

Kon kehta hai k maut aaye to marjaonga???

Kon kehta hai k maut aaye to marjaonga
Main to darya hon, samandar main utar jaonga

Tera dar chor k main or kidher jaonga
Ghar main ghir jaonga, sehra main bikhar jaonga

Tere pehlu se jo uthonga to mushkil ye hai
Sirf ik shaks ko paonga jidher jaonga

Ab tere shehar main aonga, musafir ki tarah
Saya-e-Abar ki manind guzar jaonga

Charah sazon se alag hai mere mayaar k main
Zakhm khaonga to kuch or sanwar jaonga

Zindagi shamma ki manind jalata hon “Nadeem”
Bujh to jaonga magar subha to karjaonga

Tere ishq ki inteha chahta hon

Tere ishq ki inteha chahta hon
Mere saadgi dekh kya chahta hon

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi baat sabar aazma chahta hon

Ye jannat Mubarak rahe zahidon ko
K main aap ka saamna chahta hon

Koi dam ka mehmaan hon, ay ehel-e-mehfil
Chiragh-e-sehar hon bhuja chahta hon

Bhari bazm main raaz ki baat kehdi
Bara beadab hon, saza chahta hon

Qissa abhi hijab se aage nahi barha

Qissa abhi hijab se aage nahi barha
Main aap, wo janaab se aage nahi barha

Muddat hue Kitaab-e-muhabbat shuru kiye
Lakin main pehle baab se aage nahi barha

Lambi musafaten hain magar is sawaar ka
Paaon abhi raqaab se aage nahi barha

Toul-e-Kalaam k lye main ne kiye sawaal
Wo mukhtasar jawaab se aage nahi barha

Rukhsaar ka pata nahi aankhen to khoob hain
Dedaar abhi naqaab se aage nahi barha

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hon
Tujh Say Agy Ka Safar Dekh K Dar Jata Hon

Roz Dhalty Howey Suraj Ki Tarha, Sham Gaye
Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hon

Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi
Main Bhi Raton Ko Zara Dair Se Ghar Jata Hon

Main Ne Bhi Jurm-E-Baghawat K Sitam Jhiley Hain
Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hon

Chal Para Hon Main Zamany K usolon Pe "WASI"
Main Bhi Ab Apni hi Baton Sy Mukar Jata Hon

Main is umeed pe

Main is umeed pe dooba k tu bacha lega
Ab is k baad mera imtehaan kya lega

Ye aik mela hai waada kisi se kya lega
Dhalega din to har ik apna rasta lega

Main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaonga
Koi chiragh nahi hon jo phir jala lega

Kaleja chahiye dushman se dushmani k lye
Jo be amal hai wo badla kisi se kya lega

Hazar tor k aa jaon us se rishta "Waseem"
Main janta hon wo jab chahega bula lega

Mile hawaaon main

Mile hawaaon main urne ki ye saza yaron
Main zameen k rishton se kat gaya yaron

Wo bekhayal musafir, main rasta yaron
Kahan tha bas main mere us ko rokna yaron

Mere qalam pe zamne ki gard aise thi
K apne bare main kuch bhi na likh saka yaron

Jo beshumar dilon ki nazar main rehta tha
Wo apne bachon ko ek ghar na desaka yaron

Janab-e-“Meer” Ki khud gharziyun main
Miyan “Waseem” k kehne ko kya bacha yaron

Kabhi kabhi yaad main

Kabhi kabhi yaad main ubharte hain naqsh-e-maazi mite mite se
Wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbaten si, wo fasle se

Kabhi kabhi aarzu k sehra main, aa k rukte hain qafle se
Wo saari baten lagao ki si, wo saare unwaan wisaal k se

Nigha-o-Dil ko qarar kesa, Nishaat-o-gham main, kami kahan ki
Wo jab mile hain, to un se har baar, ki hia ulfat naye sire se

Bohat giran hai ye aish-e-tanha, kahin sabak tar, kahin gawara
Wo dard-e-pinhan k sari dunya, rafiq thi jis k waste se

Tumhe kaho, k rind-o-mustahib main, hai aj shab kon fark aisa?
Ye aa k bethe hain mekade main, wo uth k aaye hain makade se

Reza Reza Sapnon Waale, Toote Chehre Aadhe loog

Reza Reza Sapnon Waale, Toote Chehre Aadhe loog
Jaan waale kab aatae hian, kyun karte hain waade loog

Aas main Bethi Shehzadi ki, maang main Chaandi jhank chuki
Itni dair se kyun Aate hain Aakhir ye Shehzade loog??

Piyar ki raah pe ungli thaame, andha'dhund chal parte hain
Na Samjhi main mar jaate hain, hum se Seedhe sadhe loog

Hum dono main kon hai mujrim, ye tey hona Mushkil hai
Aadha Shehar tha haami uska, sath the mere Aadhy loog

Hawa k zour se

Hawa k zour se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya
Chiragh ko jo bachate the, un ka ghar bhi gaya

Pukarte rahe mehfooz kishtiyun waale
Main Doobta hua darya k paar utar bhi gaya

Ab ehtiyaat ki diwaar kya uthate ho
Jo chor dil main chupa tha wo kaam kar bhi gaya

Main chup raha k is main thi aafiyat jaan ki
Koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya

Sulaghte sochte weraan mausamon ki tarah
Kara tha ehad-e-jawani magar guzar bhi gaya

Jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
Jo naam dil main raha zehan se utar bhi gaya

Phati phati huye ankhon se yun na dekh mujhe
Tujhe talash hai jis ki wo shakhs mar bhi gaya

Magar falak ki adawat ussi k ghar se na thi
Jahan "Faraz" na tha sayel-e-Gham udhar bhi gaya

Jin rahon pe ik umar tere sath chaly hum

Jin rahon pe ik umar tere sath chaly hum
Arsa hua wo rasty sunsaan bohat hain

Mil jao k kabhi Lout k Phir aaun na shayed
Kamzor hun main, rah mein toofan bohat hain

Ek tum hi Nahi meri Judai main Pareshaan
Hum bhi to teri chah main veraan bohat hain

Is tark-e-wafa pe mein usey kesy bhula dun
Mujh par abhi us shakhs k Ehsan bohat hain

Bhar aaey na Aankhain to main ik baat bataun
Ab dunya se juda hone k imkaan bohat hain

Friday, November 11, 2011

Chup ki jheel main dukh na gholo

Chup ki jheel main dukh na gholo
veerani aahista bolo

Thaam ke beete waqt ki ungli
Serd hawa ke sang sang ho lo

Mushkil jaan ke dour na bhaago
Meri zaat ki girhain kholo

Aaj ki shab tanha ho bilkul
Aaj ki shab ji bher ker ro lo

Dil ke gehre ganga jal main
Khushiyon ke her paap ko dho lo



Daikho kon aaya hai milne

Lamha bher ko aankhain kholo



(Farahat Abbas Shah)

Jalnay lagi lahoo main judaee to ro diye

Jalnay lagi lahoo main judaee to ro diye
Tanhaiyon ne khaak uraaee to ro diye

Chehre ne tera roag chupaya to hans diye
Aankhon ne teri yaad manai to ro diye

Khushboo ne koi yaad dilaya tarap uthay
Phoolon ne daastaan sunaee to ro diye

Guzra hai hum pe khud yehi aalam iss liye
Hansne lagi kisi pe khudai to ro diye

Raas aa chuki thi teergi-e- shab kuch iss terha
Ger shama bhi kisi ne jalai to ro diye

(Farhat Abbas Shah)

Mere Dil ke Sham Saweeray ho

Mere Dil ke Sham Saweeray ho
Ik baar kaho tum mere ho
Mujhe tum bin Kuch na dekhaye de
Kion itnay ghir andheeray ho
Main panchi Payar ke Desoon ki
Tum Mere Rain baseery ho
Main Maal-o-Manal Muhabbat Ka
Tum Dakoo Chor Lotairay ho
Kuch Bolo yan Azad Kero
Kion Khamooshi Se ghairay ho

Ankh Jaye Ke Sitara Jaye

Ankh Jaye Ke Sitara Jaye
Kuch Zaroor Aaj Hamara Jaye
Ab To tatheer Ki Surat Hai yahi
Durd Ko Dil Se ghuzara Jaye
Uske Darbaar main khanjar ki tarah
Hijer seenay Main utara Jaye
Kia Kiya Jaye bata Wahshat Main?
Apnay hi Aap Ko Mara jaye?
Aye Khuda Kon Hamara Hai yahan
Sheher Main Kisko Pukara Jaye
Loon Sahar To yeah Dil Jata Hai
Dil ko thamoon To sahara jaye

Samay Samay Ki Khalish Men Tera Malal Rahe

Samay samay ki Khalish men tera malal rahe
Judaiyon men bhi yun alam-e-visal rahe

Ana ki jang men ham jit to gaye lekin
Phir us ke bad bahut der tak nidhal rahe

Rah-e junun men yahi zad-e-rah hotaa hai
Ke justaju bade divanagi bahal rahe

Hasin raten bhi mahaken tumhari yadon se
Kade dinon men bhi pal pal teraa Khayaal rahe

Aag Ho To Jalane Mein Der Kitani Lagti Hai

Aag ho to jalane men der kitani lagti hai
Barf ke pighalane men der kitani lagti hai

Chahe koi ruk jaye chahe koi rah jaye
Qafilon ko chalane men der kitani lagti hai

Chahe koi jaisa bhi hamsafar ho sadiyon se
Rastaa badalane men der kitani lagti hai