Wednesday, July 11, 2012

Badan mein rang bharta hai tumhara chand sa chehra...

Badan mein rang bharta hai tumhara chand sa chehra... 
Mujhey baychain kerta hai tumhara chand sa chehra... 

Usi ehsaas ka nasha liyay phirta hun duniya mein... 
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra... 

Mujhey yeh chandni raatein buhat baykaif lagti hein... 
Jab aankhoun mein ubharta hai tumhara chand sa chehra... 

Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta... 
Mujhey madhosh kerta hai tumhara chand sa chehra... 

Meri basti sey shayed iss liyay tum door rehtay ho... 
Gehan lagnay sey derta hai tumhara chand sa chehra...

Waqt...


Waqt Muqarar Hai Her Cheez Ka Kaha Tha Tum Ne
Mana Lakin Chahat Ka Maza Aaj Bhi Hai

Teri Ulfat Ke Sahare Guzar Jae Umr Bhi
Yehi Tamana Thi Barsoon Se Aur Aaj Bhi Hai

Kuch To Jheelna Hi Ho Ga Tum Ko Bhi Muhabbat Main
Keh Nibhane Ka Waqt Aur Maza Aaj Hi Hai

Tum Ker Do Jo Wafa In Wadoon Aur Qasmoon Ko
To Samjhoon Gi Shazi Muhabbat Ka Maza Aaj Hi Hai

Sab Se Chuppa Ker....

Sab Se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya

Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya

Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha K Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya

Janey Kiya Usko Logoon Sey Thin Shikayaten
Tanhayon Kay Dais Main Khud Ko Basa Diya

Khud Bhi Woh Hum Se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya

Sadaa Deti Hai Khushboo...

Sadaa Deti Hai Khushboo Chaand Taare Bol Parte Hain
Nazar Jaisi Nazar Ho To Nazaare Bol Parte Hain

Mehak Jaate Hain Gul Jaise AnMoL Ke Choom Lene Se
Agar Lehrayein Mukhaatib Hon Kinaare Bol Parte Hain

Zabaan Se Baat Karane Mein Jahaa Rusvaayee Hoti Hai
wahaan Khaamosh Aankhon Ke Ishaare Bol Parte Hain

Chupanaa Chaahate Hain Un Se Dil Ka Haal Hum Lekin
Humaare Aansu-o-n Mein Ghum Hamaare Bol Parte Hain

Terii Pabandiyon Se Ruk Nahin Sakatin Ye Faryaadein
Agar Hum Chup Rahein To Zakhm Saare Bol Parte Hain

Mein Janti Hoon....

Main Janti Hoon Meri Khuddariyan Tujhe Kho Deingi
Mager Karoon Main Kya Mujhe Maangne Se Nafrat Hai

Apni Zaat Ke Rang Kisi Aur Per Aashna Karoon
Mujhe Hamdardiyon Se Nafrat Hai

Tanhayiyan Hi Meri Dost Mere Humraz Hain
Mujhe Humgamon, Mehfilon Se Nafrat Hai

Pasand Tou Hain Mujhe Yeh Rishte Naate
Mager Mere Dil Ko Pabandiyon Se Nafrat Hai

Jo Karsako Qabool Mujhe Khamiyon Samet
Verna Mujhe Nawazishon Se Nafrat Hai

Yeh Theek Hai Main Bauhat Ana Parast Hoon
Mujhe Zindagi Ki Bekeemati Se Nafrat Hai

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena...

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena

Ankhain Roshan Kerna Hamaisha Mere Chehre Se
Mujh Se Ye Deedar Kabhi Wapis Mat Lena

Mujh Ko Her Pal Kehtay Rehna Ke Tum Mere Ho
Mujh Se Ye Iqrar Kabhi Wapis  Mat Lena

Mujh Se Apna Piyar Kabhi Wapis Mat Lena
Mujh Se Ye Izhar Kabhi Wapis Mat Lena