Monday, September 24, 2012

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao...

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao
Bohat Tanha Hoon Mai Aaj Kaash Tum Aa Jao

Kabhi Khud Ko Itna Kamzour Na Hone Dia Mene
Par Aaj Bikhar Gaya Hoon Kaash Tum Aa Jao

Tum Se Miltay Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe
Chahiye Aaj Bahoon Ka Sahara Kaash Tum Aa Jao

Barson Se Jee Raha Hoon Bin Tere Aey-Jaan-e-Wafa
Aaj Nahi Guzar Raha Aik Pal Kaash Tum Aa Jao 

Waqt Ki Raftaar Bhi Jaisay Tham Si Gai Hai
Tham Na Jaye Meri Saansey Kaash Tum Aa Jao

Apki yaad aati rahi raat bhar ...

Apki yaad aati rahi raat bhar 
Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar 

Raat bhar dard ki shama jalati rahi 
Gham ki lau thartharati rahi raat bhar 

Bansuri ki sureeli suhani sadaa 
Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar 

Yaad ke chand dil mein utartey rahe 
Chandani jagmagati rahi raat bhar 

Koi deewana galiyon mein phirta raha 
Koi awaz aati rahi raat bhar

Lahoo main rung lehranay lagay hain....

lahoo main rung lehranay lagay hain
zamanay khud ko duhranay lagay hain 

paroo'n main lay kay bay hasil uranai'n
parinday laut kar anay lagay hain

kahan hay qafila baad_e_saba ka!
diloo'n kay phool murjhanay lagay hain

kuch aisie bay yaqini thi fiza main
jo apnay thay Woh bay ganay lagay hain

khula hay raat ka tareek jungle
aur andhay rah dikhlanay lagay hain

bachanay aayeey thay deewar laken
imarut hi ko ub dhanay lagay hain

AMJAD ISLAM AMJAD

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo...

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo
Kabhi tum bhi rasmemohabat nibha jaya karo

Andhera he andhera hay in rahon mein
Tum he koi diya aakay jalajaya karo

Hum he tumhein yaad kartay rahein kiya umrbhar
Kabhi tum bhi humari khatir ansoo baha liya karo

Ghanay darkht ki thandi chaya hotay hein
Apnay buzrogon ki duain lay kay bahar jaya karo

Sari duniya he udas dikhai deti hay "Jaan"
Tum he kisee ko dekh kay muskura liya karo

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Say Mulaqaat “Wasi”....

Ab To Mumkin Hi Nahi Un Say Mulaqaat “Wasi”
Ab To Urooj Pey Pohonchi Hai Uski Zaat “Wasi”

Wohi Vaadey Hain Aur Rasmon Ki Zanjeerein Baqi
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Riwayaat “Wasi”

Ek Wo Din Thy Ke Ek Doosray Ko Sochtey Thy Hum
Ab Miltey Nahi Dono Ke Khayalaat “Wasi”

Meri Har Subah Ka Aaghaz Tere Naam Say Ho
Teri Yaadon Me Kat’ti Meri Har Ek Raat “Wasi”

Tum Kahan Aur Mere Pyar Ka Maiyaar Kahan
Wo Kitni Saadgi Say Kar Gaya Ye Baat “Wasi“

Meri Zindagi Ki Kitaab Ka.....

Meri Zindagi Ki Kitaab Ka Hai Warq Warq Yon Saja Howa

Sar-e-Ibtida Sar-e-Inteha Tera Naam Dil Pe Likha Howa

Ye Chamak Dhamak To Fareeb Hai Mujhe Dekha Gehri Nigha Se

Hai Libaas Mera Saja Howa Mera Dil Hai Lekin Bhuja Howa

Meri Aankh Teri Talaash Me Yon Bhatak`ti Rehti Hai Raat Din

Jaisay Jangalon Me Hi`ran Koi Ho Shikariyon Me Ghiraa Howaa