Monday, April 25, 2016

Sabhe rasmain nibhana chahti hon....

Sabhe manzar mitana chahti hun
Tujhay dil se bhulana chahti hun

Hain jitne zakhm paey chahaton main
Wo kaghaz per sajana chahti hun

Meri ankhon main abdi roshni ho
Dia dil main jalana chahti hun

Meray dil main faqat chahat hy uski
Yaqeen usko dilana chahti hun

Mohabat, Pyar aur chahat ki nighat
Sabhi rasmain  nibhana chahti hun

Sunday, April 24, 2016

Dil zamanay k hasaey maine....

Zakhm bhi laakh chupaye maine
Rang pay rang sajaye maine

meray ghar main to andhaira he raha
kitnay he deep jalaye maine

dil k sagar main uthay jab bhi bhanwer
ashk palkon pay chupaye maine

zindagi apni sisakti he rahi
dil zamanay k hasaey maine

tujhko pane k liye duniya main
jaan ko roag lagaey maine

Chaon ai na muyaser mujhko
Kitne he pair lagaey maine

khud ko he di hain sada'aain javeed
Dekh ker moat k saey maine

Koi marta nahi kisi k liye...

Ajab meri kahani hay alag terz e bayan mera
Na koi hamsafar mera na koi raazdaan mera

Thikana bhi nahi rakhta na koi mera maskun hay
Na ghar mera na der mera na koi ashyaan mera

Talash e yaar main he kho gaya hon is terha se
Nishan paa ker bhi nahi milta koi nishaan mera

Janoon ishq main phirta hon main sehra sehra ab
Na koi meri manzil hay na koi karwaan mera