Tuesday, February 14, 2012

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho...

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena

Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena

Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena

Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Deewanay....

Subha ke khuwab dekhnay walay sub dewanay hotay hain
raat mein deep jalanay walay sub dewanay hotay hain

akhir ishq nibhanay waly munzil bhi paa laitay hain
raah say loat ker janay walay sub dewanay hotay hain

aik zara si thais se sheeshay kerchi kerchi hotay hain
zakhmon per muskuranay walay sub dewanay hotay hain

sara shehar he dewanon ko samjhanay a jata hai
aison ko samjhanay walay sub dewanay hotay hain

dostoon say bhi kuch baaton ko chupa laina hi behter hai
dil ki baat batanay waly sub dewanay hotay hain

Woh batain teree woh fasanay teray...

woh batain teree woh fasanay teray
shagufta shagufta bahanay teray

faqeeron kee jholee na ho gee tahee
hain bharpoor jab tak khazanay teray

bas ik daagh e sajda meree kainat
jabeenain teree aastanay teray

zameer e sadaf mein kiran ka maqam
anokhay anokhay thikanay teray

adm bhee hai tera hikayat kada
kahan tak gaye hain fasanay teray

Zindagi Mein Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahin

Zindagi Mein Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahin
Tamasha Hai Yeh Duniya Is Ke Siwa Kuch Nahin

Meri Zindagi Se Puchiye Zindagi Kiya Hai
Zindagi Hai Aik Khawab Is Ke Siwa Kuch Nahin

Khushiya Hai Lakhon Is Duniya Mein Magar
Udasi Hai Mere Dil Mein Is Ke Siwa Kuch Nahin

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hai Khush Ho Kar
Un Ke Dilon Mein Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahin

Wada Tu Karte Hai Log Magar Jante Nahin Wafa Karna
Bewafai Hai Is Duniya Mein Is Ke Siwa Kuch Nahin

Pal Mein Jise Chaha Usse Pal Mein Bhola Diya
Yeh Khel Hai Duniya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi

Tum Ko Chaha Hai Magar Kuch Bhi Nahi Soucha Ke
Duniya Tu Hai Ik Sarab Is Ke Siwa Kuch Nahin

Monday, February 6, 2012

Ahmed Faraz...Dil tehernay day tou ankh bhi jhapakte jaa wain...

Dil teherne de to ankhain bhi jhapak'tay jaawain
Hum k tasveer banay bas tujhko taktay jaawain

Choo be nim khorda ki manind sulagte rahe hum
Na tou bujh paye, na bharkain, na dehekte jaawain

Kia karay chara koi? jab tere andar wo naseeb
Muh say kuch bhi na kahain aur sisaktay jaawain

Koi nashay say koi tishna labi say saaqi
Teri mehfil main sab he Loag behekte jaawain

Kabhi us yaar e suman ber k sukhan bhi sunyo
Aisa lagta hay k ghunchay say chatakte jaawain

Humnawa sanje mohabat hain her aik rut main Faraz
Wo qafas ho k gulistan, Jo chahaktay jaawain....