Tuesday, February 14, 2012

Woh batain teree woh fasanay teray...

woh batain teree woh fasanay teray
shagufta shagufta bahanay teray

faqeeron kee jholee na ho gee tahee
hain bharpoor jab tak khazanay teray

bas ik daagh e sajda meree kainat
jabeenain teree aastanay teray

zameer e sadaf mein kiran ka maqam
anokhay anokhay thikanay teray

adm bhee hai tera hikayat kada
kahan tak gaye hain fasanay teray