Sunday, April 15, 2012

iss bharey shehar mein meri tarha ruswa hota

iss bharey shehar mein meri tarha ruswa hota
tujh pay bhi haadsa e shauq jo guzra hota

tuu ne harchand zuban par tou bithaye pahrey
baat jab thi ke meri sooch ko badla hota

rakh liya ghum bhi tera bar-e-amanat ki tarha
kon is shehar key bazar mein ruswa hota

jab bhi barsa hai tarey shehar ki janab barsa
koi badal tou sar-e-dashat bhi barsa hota

aaina khaney mein ik umer rahey mehaw e khayaal
apney andar sey nikal kar kabhi dekha hota

meri khashti ko bhala mauj dubo sakti thi
main ager khud na shareek-e-ka'f e darya hota

tujh pe khul jati meri rooh ki tanhai bhi
meri aankhoon mein kabhi jhaank key dekha hota

us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye

us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye
bikne ko saare log hii tayyaar ho gaye

us ne kahaa ke aik wafadaar chaahiye
saare jahaaN ke log wafadaar ho gaye

us ne kahaa ke ko’ii gunah-gaar hai yahaaN
jo paarsaa the vo bhii gunah-gaar ho gaye

us ne kahaa ke aajiz-o-miskiiN hai ko’ii
sab log gard-e-kuucha-o-baazaar ho gaye

us ne kahaa ke kaash ko’ii jangjuu mile
aapas mein yaar barsar-e-paikaar ho gaye

us ne kahaa “Adeem” mera haath thaam-na
chaaron taraf se haath namudaar ho gaye