Thursday, August 29, 2013

Ye bhi aik udasi hay...

Chup chup rehna, kuch na kehna, Ye bhi aik udasi hay
Hans k saray sadmay sehna, Ye bhi aik udasi hay

Bethay bethay kho sa jana younhe dur khayalon main
Chaltay chaltay hanstay rehna, Ye bhi aik udasi hay

Dil ki batain sunker hasna, Ye to sab ki aadat hay
In baton pay hastay rehna, Ye bhi aik udasi hay

Maar k kanker lehrain ginna, Beth k jheel kinaray per
Kuch logon ka hay ye kehna, Ye bhi aik udasi hay

Dhoop Ka Chaand....♥

Ye jo pur shikista hay fakhita, ye jo zakhm zakhm gulaab hay
Ye hay daastan meray ehad ki, jahan zulmaton ka nisaab hay

Jahan terjumani ho jhoot ki, Jahan hukmarani ho loot ki
Jahan baat kerna mohaal ho, wahan aagaahi bhi azaab hay

Meri jaan hont to khool tou, Kabhi apnay haq main bol tu
Ye ajab hay teri kham'shi, na sawal hay, na jawab hay

Ser raah charagh jalay ga kia,  koi manzilon ko chalay ga kia
Tera dil hay abhi bujha howa, Teri ankh main abhi khawab hay

Wohi aab aab hain aablay, Wohi fasl fasl hain faaslay
Wohi khaar khaar hay raahguzer, Wohi dasht dasht siraab hay

Wohi baam o der hain jaalay howay, wohi chaand chehray dhalaay howay
Wohi subha e koo'aey malal hay, Wohi shaam e sheher kharab hay

Mujhay SAAD tujhse gilla nahi, k main khud he tujhse mila nahi
Meri zindagi bhi azaab hay, Teri zindagi bhi azaab hay

Saad Ullah Shah