Ye jo pur shikista hay fakhita, ye jo zakhm zakhm gulaab hay
Ye hay daastan meray ehad ki, jahan zulmaton ka nisaab hay
Jahan terjumani ho jhoot ki, Jahan hukmarani ho loot ki
Jahan baat kerna mohaal ho, wahan aagaahi bhi azaab hay
Meri jaan hont to khool tou, Kabhi apnay haq main bol tu
Ye ajab hay teri kham'shi, na sawal hay, na jawab hay
Ser raah charagh jalay ga kia, koi manzilon ko chalay ga kia
Tera dil hay abhi bujha howa, Teri ankh main abhi khawab hay
Wohi aab aab hain aablay, Wohi fasl fasl hain faaslay
Wohi khaar khaar hay raahguzer, Wohi dasht dasht siraab hay
Wohi baam o der hain jaalay howay, wohi chaand chehray dhalaay howay
Wohi subha e koo'aey malal hay, Wohi shaam e sheher kharab hay
Mujhay SAAD tujhse gilla nahi, k main khud he tujhse mila nahi
Meri zindagi bhi azaab hay, Teri zindagi bhi azaab hay
Saad Ullah Shah