Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha
Aana Na Aana Meri Marzi Hai Tumko To Bulana Chahiye Tha
Hamari Khwahish Ek Ghar Ki Thi Use Sara Zamaana Chahiye Tha
Meri Aankhe Kaha Nam Hui Thi Samundar Ko Bahana Chahiye Tha
Jaha Par Panhuchna Main Chahta Hoon Waha Pe Panhuch Jana Chahiye Tha
Hamara Zakhm Purana Bahut Hai Chargar Bhi Purana Chahiye Tha
Mujhse Pahle Wo Kisi Aur Ki Thi Magar Kuch Shayrana Chahiye Tha
Chalo Mana Ye Choti Baat Hai Par Tumhe Sab Kuch Batana Chahiye Tha
Tera Bhi Shaher Me Koi Nahi Tha Mujhe Bhi Ek Thikana Chahiye Tha
Ke Kis Ko Kis Tarah Se Bhoolte Hain Tumhe Mujhko Sikhana Chahiye Tha
Aisa Lagta Hai Lahoo Mein Humko Kalam Ko Bhi Dubana Chahiye Tha
Ab Mere Saath Rah Ke Tanz Na Kar Tujhe Jana Tha Jana Chahiye Tha
Kya Bas Maine Hi Ki Hai Bewafaai Jo Bhi Sach Hai Batana Chahiye Tha
Meri Barbadi Pe Wo Chahta Hai Mujhe Bhi Muskurana Chahiye Tha
Bas Ek Tu Hi Mere Saath Mein Hai Tujhe Bhi Rooth Jana Chahiye Tha
Humare Paas Jo Ye Fan Hai Miya Hume Is Se Kamana Chahiye Tha
Ab Ye Taaj Kis Kaam Ka Hai Hume Sar Ko Bachana Chahiye Tha
Usi Ko Yaad Rakha Umar Bhar Ke Jisko Bhool Jana Chahiye Tha
Mujhse Baat Bhi Karni Thi Usko Gale Se Bhi Lagana Chahiye Tha
Usne Pyaar Se Bulaya Tha Hume Mar Ke Bhi Aana Chahiye Tha
Tumhe ‘Satlaj’ Use Pane Ke Khatir Kabhi Khud Ko Gawana Chahiye Tha!!