Tumse ulfat k takazay na nibahay jatay
Warna humko bhi tamana thi k chahey jatay
Dil k maron ka na ker ghum k ye un dohay naseeb
Zakhm bhi dil main main na hota to karahay jatay
Hum nigahi ki hamain khud bhi kahan thi taufeeq
Kam nigahi k liye uzr na chahey jatay
Kash ae abr e baharee, tery behkey se kadam
Meri umeed k sehra may bhi gaahay jatay
Hum bhi kyoon deher ki raftar se hotay paamal
Hum bhi her lughzish masti ko sarahay jatay
Di na mohlat hamain hasti nay wafa ki warna
Aur kuch din ghum e hasti say nibahay jatay
Shan ul haq haqi....