Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga
Marnay Say Payshtar Meri Awaz Mut Chura
Mein Apni Jaidaad Idhar Chor Jaon Ga
Qatil Mera Nishaan Mitaanay pay Hay Baazidd….
Mein Bhi Sinaa’n Ki Nooq Pay Sir Chor Jaoon Ga
Tu Nay Mujhay Chiragh Samajh kar Bujha diya
Laykin Tery Liyay Mein Sehar Chor Jaoon Ga
Aa’inda Nasal Mujh Ko Parhay gi Ghazal Ghazal
Mein Harf Harf Apna Hunar Chor Jaoon Ga..
Tum Apnay Aabloo’n Ko Bachatay Ho Kis LIyay ?
Mein to Safar Mein Rakht-e-Safar Chor Jaoon Ga
Mein Apnay Doobnay Ki Alaamat Kay toor par!
Darya Mein Aik Aadh Bhanwar Chor Jaoon Ga
Lashkar Karain Gay Meri Dalayri Pay Tabsaray
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chor Jaoon Ga
“Mohsin” Mein Us Kay Zakhm Khareedoon Ga Aik Din
Aur Us K Paas La’al-o-Gohar Chor Jaoon Ga