Saturday, August 27, 2016

Tumhare samnay....#D

Aur kia kerta bayan ghum tumhare samne
Meri ankhain ho gai purnum tumhare samne

Hum judai main tumhari mar bhi sakte hain magr
Chahte ye hain k nikle dum tumhare sane

Jisme hum dono k bachpan ki bhi aik tasveer hay
Dhond ker laya hon..wo album tumhare samne

Atay, atay lab per reh jati hain ...dil ki hasratain
Kholte hain hum zuban kam , kam tumhare samne

Tum samunder ki terha agoosh waa kertay nahi
Hum to ban jate hain mojay yum tumhare samne

Kis liye tum neend main sharma rahe ho is terha
Khuwab main kia agaye thay, Hum tumhare samne


Friday, August 12, 2016

Khulasaa e dil.....

Yaad rakho gay aisa tohfa bhejon gi
Apni ankh ka behta darya bhejon gi

Meri ankh main hijr samander behta hay
Paas rahogay phir bhi piyasa bhejon gi

Daman main khairat sambhalay rakhna tum
Main tumko is bar bhi kaasa bhejon gi

Tum pardais se wapis bhi a sakte ho
Tumko pyar bhara sandaisa bhejon gi

Kaash tumhari ankh se jal thal ho jaye
Dhoop ka jangal , durd ka sehra bhejon gi

Khat may ansoo kuch tasveerain meri hain
Bheegi ankhain bheega chehra bhejon gi

Fari kese pyar ho gaya aik larkay se
Chahat se bharpur khulasa bhejon gi...

Poet ..... Farida Fari