Thursday, October 20, 2011

Yeh teh huva tha..

Muhabbaton me har ek lamha wisal ho ga,ye teh huva tha..
bichar k b ek dosre ka khayaal ho ga ye teh huva tha..

bichar gaye to kya huva yahi to dastoor-e-zindgi hai..
judaiyon me na qurbaton ka malaal ho ga ye teh huva tha..

wohi huva na badalte mosam me TUM ne HUM ko bhula diya hai..
koi b rut ho na chahaton ko zawal ho ga, ye teh huva tha...

ye kya k sansen ukhar rhi hain safr k aaghaz hi me yaro..
koi b thakk k na raste me nidhal ho ga,ye teh huva tha..

chalo k Fezan kashtiyon ko jala den gum'man sahilon pe..
k ab yahan se na wapsi ka sawal ho ga,ye teh huva tha..!!!

Wednesday, October 19, 2011

Main hun Meri Tanhai hay...

Main hun Meri Tanhai ha,
Or Hijr ki Raat Wahi ha,

Go Khatm Hua Dil ki Dunya me Sab,
Par Tere Aane ki Aas Wahi ha,

Muddat hui Teri Deed ko Ankhen Taras Gai,
Aa Dekh Teri Deed ki Pyas wahi ha,

Gar Kuch Nahi ha Pas Mere to Kia Gham Saim,
Jeene ko Teri Yaad ka Ehsas Wahi ha...

Bad meray mernay k ....

Tera andaz e takhatub mujhey jana kehna
Yad aeyga tmhein bad merey merney k

Mera her sher parhna aur youni muskura dena
Bohat terpaey ga tmhein bad merey merney k

Meri her bat pe hansna mujhey pagal kehna
Dil dukhaey ga tera bad mere merney k

Mujhey banho me lena aur khushi se jhomtey jana
Bohat rulaey ga tmhein bad merey merney k

Mujhey sang apne rkhna aur khshi se jhomte jana
Dil jaleyga tera bad mery merney k

Pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya

mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya

dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya

meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya

zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya

main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi...

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi

Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Ab Tera Juda Hona…!!!!

Khawab Posh Aankhon Mein,
Aansuon Ka Bhar Jana,

Hasraton K Saahil Per,
Titliyon Ka Marr Jana…

Habs Ki Hawaon Mein,
Khushbuon Ka Darr Jana…

Dil K Garm Sehra Mein,
Hashar ka Bapa Hona…

Dard La-Dawa Hona,
Kya Bohot Zaroori Hai?,

Ab Tera Juda Hona…!!!!

Mojzaay...

Ab k mohabtoon main yeh mohjazey huwey
Ham khud ko sochtey hain tujhe sochtey huwey

Ek bar tujh ko socha sar_e_sham aur phir
Ek aur raat beet gai jagtey huwey

Ham manzel edm k andheroon main kho gaey
jab se alag tumare mere raastey huwey

Jab agai ki nabz thami to pata chala
Kitne baras guzar gaey tujh se mile huway

Main ne kaha k duniya main koi naheen mera
Us ne kaha k aaj se ham aap k huwey

Aadat...

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena

Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay

Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to rasta badal lena.....

Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena

Dil ki shahadat dhundtey hain..

taire milne ki sayet dhundtey hain
k apne dil ki hasrat dhundtey hain

taire lehjey ki dori thaam kar hum
mafaheem e halawat dhundtey hain

khushi milti nhi yun to kahi bhi
magar hasb_e_zaroorat dhundtey hain

daleelain zehan ki apni jaga hain
magar dil ki shahadat dhundtey hain

fraib hast may aane se pehle
hum apni hi haqeeqat dhundtey hain

nawazish hay ,karam ye aapka hay
k ab hum bhi muhabbat dhundtey hain

Dil ki shahadat dhundtey hain..

taire milne ki sayet dhundtey hain
k apne dil ki hasrat dhundtey hain

taire lehjey ki dori thaam kar hum
mafaheem e halawat dhundtey hain

khushi milti nhi yun to kahi bhi
magar hasb_e_zaroorat dhundtey hain

daleelain zehan ki apni jaga hain
magar dil ki shahadat dhundtey hain

fraib hast may aane se pehle
hum apni hi haqeeqat dhundtey hain

nawazish hay ,karam ye aapka hay
k ab hum bhi muhabbat dhundtey hain

Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai...

Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai
Qissa meri nakami ka mash-hoor bahut hai

Vo mausam-e-gul ho ke khezaN, aap ke dam se
Ye sehn-e-chaman husn se maamoor bahut hai

Qudrat ki hemayat nahiN haasil to ye insaN
HoN laakh wasayel bhi to majboor bahut hai

Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
Ghurbat ko saza dene ka dastoor bahut hai

KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
Kirdar ki khaami se vo raNjoor bahut hai

MaiN dast-e-sawaal apna baDhata nahiN aage
Aur log samajhte haiN ke maGroor bahut hai

Allah ne jo kuchh bhi diya khoob hai maikash
Dil uski enayaat se masroor bahut hai

Kachhi deewaar hoon...

kachhi deewaar hoon Thokar na lagana mujh ko
apani nazaron men basaa kar na giranaa mujh ko

tum ko aankhon men tasawwur ki tarah rakhta hoon
dil men dharhkan ki tarah tum bhi basaana mujh ko

baat karne men jo mushkil ho tumhen mahafil men
men samajh jaoonga nazaron se bataana mujh ko

wadaa utna hi karo jitna nibhaa sakte ho
Khwaab pooraa jo na ho wo na dikhana mujh ko

apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lenaa
men to aashiq hoon deewana na banaana mujh ko