Manzil mere qadmoN se abhi door bahut hai
Qissa meri nakami ka mash-hoor bahut hai
Vo mausam-e-gul ho ke khezaN, aap ke dam se
Ye sehn-e-chaman husn se maamoor bahut hai
Qudrat ki hemayat nahiN haasil to ye insaN
HoN laakh wasayel bhi to majboor bahut hai
Naadaar-o-tahi-dast jo haq maNge to mujrim
Ghurbat ko saza dene ka dastoor bahut hai
KhudbeeN bhi hai, khudsar bhi hai, khuddaar nahiN hai
Kirdar ki khaami se vo raNjoor bahut hai
MaiN dast-e-sawaal apna baDhata nahiN aage
Aur log samajhte haiN ke maGroor bahut hai
Allah ne jo kuchh bhi diya khoob hai maikash
Dil uski enayaat se masroor bahut hai