pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya
mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya
dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya
meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya
zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya
main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya