Monday, March 26, 2012

♥ Tere Bin ♥

Ruk gayi zindegani bas ek mor par
Tere bin yunhi mosam guzarte rahe

Dil ke aangan main roti rahi Hasraten
Aankh zinda rahi khuwaab marte rahe

Jab talak tu meri simt chalta raha
Pooch kar mujh se suraj Bhi Dalta raha

Tere lehjay ki khushboo main bheegay hue
Chaand taare mere ghar utartay rahe

Ankh main chahaton ke samandar liye
Kitni jaldi tu mujh se juda ho gaya

Jane waale! Tujhe kya khabar hai ke hum
Lamha lamha tere baad marte rahe

Thursday, March 1, 2012

Sawal tanha jawab itney

Khayal e yakta main khwab itney
sawal tanha jawab itney

kabhi na khoobi ka dhyan aya
huye jahan main kharab itney

hisaab dena para hamen bhi
k hum jo they behisaab itney

bas ik nazar main hazaar baten
phir is se agay hijaab itney

mehk uthey rang e surkh jaisey
khilay chaman main gulaab itney

Muneer aye kahan se dil main
naye naye izteraab itney

Aseer-E-Khuvaa'ish Qiad-E-Muqaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Aseer-E-Khuvaa'ish Qiad-E-Muqaam Tu Hai Kay Mai-n,,,
Nizaam-E-Shams-O-Qamar Ka Ghulaam Tu Hai Kay MAi-n,,,

Hai Dono-n Mai-n Zaahir,, Hai Kon Tu Hai Kay Mai-n,,,
Chhupa Hova Hai Jo Nazro-n Say Daam,, Tu Hai Kay Mai-n,,,

Numaa'ish-E-Maah'Kaamil Pay Kis Ka Saaya Hai,,,
Yeh Uss Kay Chaaro-n Taraf Abar-E-Shaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Urha Hai Rang Dar-O-Baam-O-Baaraa-n Say,,,
Nagar Ki Ess Ghani Chup Mai-n Madaam Tu Hai Kay Mai-n,,,

Makaan-E-Door Say Aati Hai Ek Sada Si "Muneer",,,
Bhula Diya Jisay Sab Nay Vo Naam Tu Hai Kay Mai-n...

Koi daaGh hai mere naam par...

koi daaGh hai mere naam par
koi saayaa mere kalaam par

ye pahaaR hai mere saamne
ke kitaab manzar-e-aam par

kisi intizaar-e-nazar meN hai
koi roshni kisi baam par

ye nagar parindoN ka Ghol hai
jo giraa hai daana-o-daam par

Gham-e-Khaas par kabhi chup rahe
kabhi ro diye Gham-e-aam par

hai “Munir” hairat mustaqil
maiN khaRaa huN aise muqaam par

Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saaNp Khazaane mein....

Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saaNp Khazaane mein
zar ke zor se zindaa hain sab Khaak ke is viiraane mein

jaise rasm adaa karate hon shaharon kii aabaadii mein
subah ko ghar se duur nikal kar shaam ko vaapis aane mein

niile rang mein Duubii aaNkhen khulii parii thiin sabze par
aks paraa thaa aasmaan kaa shaayad is paimaane mein

dil kuchh aur bhii sard huaa hai shaam-e-shahar kii raunaq mein
kitanii ziyaa be-suud gaii hai shiishe ke lafz jalaane mein

main to 'Munir' aaiine mein Khud ko tak kar hairaan huaa
ye cheharaa kuchh aur tarah thaa pahale kisii zamaane mein

Ye kon mujh me apni zaba'n bolta raha...

Ye kon mujh me apni zaba'n bolta raha
patthar b aaine ki zaba'n bolta raha

kya uss se behs karti meri kam sukhan nazar
har zaviye se usska badan bolta raha….

bheja jakar k youn mujhay sanson ki dor me
jab tak me ji saka ye girah kholta raha

thi uss ki qurbaten bhi Muzaffar banawati..
tooti tarazuon me mujhe totlta raha….

Hum logoN ne ishQ eejaad kiya...

Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya
Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya

Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan
JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya

Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)
Kabhi koh se jaa sar phoR mare, kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya

Yahi ishQ bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa
Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya

Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi Khawahish Hawa Ki Thi...

Safar-E-Wafa Ki Raah Mein Manzil Jafa Ki Thi,
Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi Khawahish Hawa Ki Thi

Thi Jugnuon K Shehr Mein Taron Se Dushmani,
Mashooq Chaand Tha Aur Tamanna Subha Ki Thi

Tum Ne To Ibadat Ka Tamasha Bana Diya,
Chahat Namaz Ki Thi Per Aadat Qaza Ki Thi,

Maine To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha,
Shayad Mgr Kuch Aur Hi Marzi Khuda Ki Thi,

Dard He Dena Tha To Pehle Bata Detay,
Hum Ko Bhi Azal Se He Tamana Saza Ki Thi...!!!