koi daaGh hai mere naam par
koi saayaa mere kalaam par
ye pahaaR hai mere saamne
ke kitaab manzar-e-aam par
kisi intizaar-e-nazar meN hai
koi roshni kisi baam par
ye nagar parindoN ka Ghol hai
jo giraa hai daana-o-daam par
Gham-e-Khaas par kabhi chup rahe
kabhi ro diye Gham-e-aam par
hai “Munir” hairat mustaqil
maiN khaRaa huN aise muqaam par