Dar ke kisii se chhup jaataa hai jaise saaNp Khazaane mein
zar ke zor se zindaa hain sab Khaak ke is viiraane mein
jaise rasm adaa karate hon shaharon kii aabaadii mein
subah ko ghar se duur nikal kar shaam ko vaapis aane mein
niile rang mein Duubii aaNkhen khulii parii thiin sabze par
aks paraa thaa aasmaan kaa shaayad is paimaane mein
dil kuchh aur bhii sard huaa hai shaam-e-shahar kii raunaq mein
kitanii ziyaa be-suud gaii hai shiishe ke lafz jalaane mein
main to 'Munir' aaiine mein Khud ko tak kar hairaan huaa
ye cheharaa kuchh aur tarah thaa pahale kisii zamaane mein