Wednesday, August 30, 2017

Dil k Qanoon...

Apna mizaj e kaar badalne nahi diya
Dil ne koi nizam bhi chalne nahi diya

Ae maah taab e husn hamara kamal dekh
Tujhko kisi bhi rang main dhalne nahi diya

Nazron se apni aap he girtay gaye hum
Ae ishq tu ne humko sambhalne nahi diya

Thori si wazaah dari thi to is dil k wastay
Tu ne tou is dil main wahem bhi palne nahi diya

Tehzeeb apni ki hay mohabat nay SAAD youn
Is dil ko humne had se nikalne nahi diya

(Saad Ullah Shah)

Kon tha....?

Be khawab lamhon ka paristaar kon tha
Itni udas raat main bay daar kon tha

Kis ko ye fiker thi k mohabat main kiya howa
Hum is per lar rahay thay k wafa daar kon tha

so (100) kishtiyaan jala k chalay sahilon se hamain
Ab tumko kia batain k us paar kon tha

Ye faisla to shayad waqt bhi na ker sakay
Sach bolta kon tha, Adaa kaar kon tha

Zamanay guzr gaye hain ye sochte howe
Main kisko kahon APNA, Mera gham khaawar kon hay

Monday, August 28, 2017

Tera Ishq....

Kia kahin kashaf o karamat main rakha howa hay
Ya tera ishq manajaat main rakha howa hay

Mujtahid! Ishq ki tafseer jo mumkin he nahi
Kis liye phir isay Ayaat main rakha howa hay

"Aen mumkin tha teray hath se jata rehta
Tu ne Acha kiya auqaat main rakha howa hay "

Kiya tamasha hay koi ishq thama ker sahab
Roz ik hijr meri ghaat main rakha howa hay

Main tou darya k safar k liye mozun bhi nahi
Tu ne sehra bhi meray hath main rakha howa hay

Dar sa rehta hay kahin toot na jaye MEESUM
Ye jo ik hubs mri zaat main rakha howa hay

(Poet :Meesum Ali Agha)

Mohabat ....


Wo durd ko ankhon se guzarne nahi deta
Sailab tou de deta hay, jharne nahi deta

Rehta tou hay ankhon main wo aaina baraber
Jab mujhko sanwarna ho, sanwarnay nahi deta

Khud toot k bikhron tou bikhar jaon bala se
Main durd ki dolat tou bikharne nahi deta

Phir mujhko utha deta hay daman ki hawa hay
Marne ka irada ho tou marnay nahi deta

Main us k dil e sakht main ghar kesay karon ga
Wo apni gali se bhi guzarne nahi deta

Main maail inkaar tou ho jata hon duniya
Dil mujhko mohabat se mukarne nahi deta

Yaad...

Jhunjhulaye hain, Lajaey hain, phir muskuraye hain
Is aehtamam se unhain hum yaad aye hain

Ab ja k aah kernay k adaab aye hain
Duniya samajh rahi hay k hum muskuraye hain

Guzare hain meh kady se jo toba k bad hum
Kuch dore aadat'tun bhi qadam larkharaye hain

Ab joo e garya,,, dekh , na kerna khajul mujhay
Ankhain teri zaroor hain, ansoo paraye hain

Ae moat,Ae baahisht e sakoon khush amdeed
Hum zindagi may pehle pehel muskuraye hain

Insaan jeete jee karain toba khata'on se
Majboriyon ne kitnay farishtay banaye hain

Sunday, August 13, 2017

Malal....

Bichertay howay usay koi malal tou hota
Ujer gaya hay koi ye khayal tou hota

Kisi sabab, kisi nisbat kisi talluq say
Nigah e yaar main koi sawal tou hota

Wo bewafa tou nahi magar phir bhi bewafai main
Jahan main koi bhi uski misal tou hota

Main pai'maal howa jis terha say mohabat main
Kuch is terha se koi Pai'maal to hota

Main uski raah main anakhain bicha tou don
Wo loat ayega ye ehtimaal tou hota

Maumlat e junoon k siwa SHUBI tumko
Kisi hunr, kisi fun main kamal tou hota...


Shubi Farooqui...poet

Nahi rahay....

Kitni badal chuki hay rut, jazbay bhi wo nahi rahay
Dil pay teray firaq k sadmay bhi wo nahi rahay

Mehfil e shab main guftugu howi tou ye khula
Batain bhi wo nahi rahin, lehjay bhi wo nahi rahay

Hulye badal k rakh diye shab e firaq nay
Anhain bhi wo nahi rahin, chehray bhi wo nahi rahay

Ye bhi howa k tere bad shauq e safar nahi raha
Jin pay bichay howay thay dil, raste bhi wo nahi rahay