Ab kis se kahain aur kon sunay jo haal tumhare baad howa
Is jheel se gehri ankhon main ik khawab bohat barbad howa
Ye hijr howa bhi dushman hay is naam k sare rangon ki
Wo naam jo mere honton per khushboo ki terha abaad howa
Is sheher k kitne chehre thay kuch yaad nahi sub bhoool gaye
Ik shaks kitabon jesa tha wo shaks zubani yaad howa
Wo apne gaon ki galiyan thin dil jin pe nachta gata tha
Ab is se farq nahi perta, na'shaad howa ya shaad howa
Be'nam sata'ish rehti thi in gehri sanwili ankhon main
Aisa tou kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be'daad howa