Roag aise bhi gham e yaar se lag jate hain
Der se uthte hain tou devar se lag jate hain
Kat'ra'nain gham ki jo galiyon main uri phirti hain
Ghar main lay ao to anbaar se lag jate hain
Ishq aaghaz main halki se khalish rakhta hay
Bad me sainkaron aa'zaar se lag jate hain
Be'basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hay
Ro na paen to galay yaar k lag jate hain
Daagh daman k hon, dil k hon k chehre k Faraz
Kuch nishaan umr ki raftar se lag jate hain