Thakun tou agle safar k liye bahana tha
Usay tou youn bhi kisi aur simat jana tha
Wahi chiragh bujha jiski loo qayamat thi
Usi pay zarb pari jo shajer purana tha
Matah e jaan ka badal aik paal ki sarshari
Salook khawab ka ankhon se tajirana tha
Hawa ki kaat shagoofon nay jazb kerli thi
Tabhi tou lehja e khushboo bhi jar e hana tha
Wohi firaq ki batain, wohi hiqayat e visl
Nai kitab ka aik ek warq purana tha
Kabaa e zer nigar khizan pay sajti thi
Tabhi tou chal ka andaz khusro'ana tha