Friday, June 24, 2011

Main hoosh mein tha tu

Main hoosh mein tha tu os peh mar gaya kaisay?
Yeh zehar mere lahoo mein utar gaya kaisay?

Kuch os ke DiL mein lagwat zaror thi warna,
Woh mera haath daba kar guzar gaya kaisay?

Zaror os ki tawajah ki rahbari ho gi,
Nashay mein tha tu main apne hi ghar gaya kaisay?

Jissay bhulaaye kayi saal ho gaye *Khamosh*
Main aaj os ki gali say guzar gaya kaisay?

Main hosh mein tha tu os peh mar gaya kaisay

Hum

aab aur kya kissi se marasim barhain hum
yeh bhi bohoot hai tujh ko agar bhool jayin hum

sehar-e-zindagi mein koi dosra na tha
sunty rahy hain aap hi apni sadain hum

iss zindagi mein itni faraghar kisse naseeb
itna na yaad aa ke tujhy bhool jein hum

tu itni dil zada tu na thi aye sabh-e-faraq
aa tere rasty mein sitarin lutayin hum

woh logg aab kahain hain jo kehty thy kal
hai hiya,, kudha na karda tujhy bhi rulain hum

Mujhey kuch or kehna tha.

wo sunta to me kehta, mujey kuch or kehna tha.
wo pal bhar ko jo theher jata mujey kuch or kehna tha.

kaha us ne suni meri, suni b unsuni kar di.
usey maloom tha itna, mujey kuch or kehna tha.

ghalat fehmi ne bato`n ko barha dala you`n hi warna.
kaha kuch tha, wo kuch samja, mujhey kuch or kehna tha.

Bhool gaya

Apni yaden Apni baten Lekr jana Bhool gaya
jany wala Jaldi main tha Milker Jana Bhool gaya

Mur Mur ker dekha tha usny jaty rasty main
jisy usney kuch khna tha jo wo khena bhool gaya

waqt-e- Rukhsat Mari Ankhen Ponch rha tha anchl sy
usko ghum tha itna zyada khud rona Bhool gaya

Ker day

woh reh na paye ik pal bhi mere bina,
aye khuda usko meri aadat c karde,,

itna toot ke chahoon main usko,,
ke meri chahat ko uski ibadat c karde,,

koi choo na paye apne khayalat mein bhi usko,
har ik ke zehen mein uski hifazat c karde,,

band aankh mein bhi dekh paon mei usko,,
meri aankhon ko aisi ijazat c karde,,

rakhon gi khayal uska umar bhar ke liye,,
bus ab woh apne aap ko meri amanat c karde,,

ye dil kuch or samjha tha

Wo jazboon ke tejarit thi ye dil kuch or samjha tha
Usy hasny kee adat thi ye dil kuch or samjha tha

Mujhy us ny kaha k aao nye dunia basa laity hain
Usy sujee ek shararat thi ye dil kuch or samjha tha

Hamesha us ki ankhon me danak k rang hoty thy
ye us ki aam halat thi ye dil kuch or samjha tha

wo mery pass baithi dair tak ghilay mere sunti
usy khud sy mohabat thi ye dil kuch or samjha tha

mery kandhy p sar rakh kr kahin kho jati thi wo
ye waqti anait thi ye dil kuch or samjha tha

mujy daikh aksar negahain phair lyti thi wo
ye dr parda haqart thi ye dil kuch or samjha tha

Us ke mehwar se niklu to


Us ke mehwar se niklu to dunya nazar aye saqi
phir bina uske ye Dil chain na paye saqi

mohabbat to hogayee hum ko us pathar se lekin
ab deko hum ko raas aaye na aaye saqi

wo mil gaya he to lagti he dunya Qadmo me
ye dewangi Dewane ko kaha lejaye saqi

me uski yad se ik pal b ghafil ho nahi paata
phir kese mumkin he wo mujhe bhool jaye saqi

humsa mukhlis usay na milega zamaane me
usay kaho is Dil ki lagi ko Dillagi na banaye saqi

Wednesday, June 15, 2011

Ashyana...

bijliyoN kii hansii uRaane ko
Khud jalaataa huuN aashiyaane ko

ro rahaa hai agarche dil phir bhii
muskuraataa huuN muskuraane ko

mutlaqan dilkashii na thii us meN
kaun suntaa mere fasaane ko

chhiin lii us ne taaqat-e-parvaaz
aag lag jaaye aashiyaane ko

“Shaad” itnaa hii ham samajhte haiN
ham samajhte nahiiN zamaane ko

zara pahlay bata daina ...

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

jee nahi lagta mera...

ab tumhari justaju me jee nahi lagta mera
ik fareb e aarzoo me jee nahi lagta mera

khatir e wehsaht talab ko ik bayabaN chahye
is jahan e rang o bu me jee nahi lagta mera

jee me aata hae kinarey pr kisi utruN kahiN
hairatoN ki aab ju me jee nahi lagta mera

nasha e mae se siwa hae merey gham ki bekhudi
mehfil e jaam o sabu me jee nahi lagta mera

kab talak betha rahuN is gosha e tanhai me
aik tarfa guftagu me jee nahi lagta mera

Ab tak....

"wo yahaN se nahiN gaya ab tak"
sab wahiN hay paRa hua ab tak

khawb ankhoN se hay khafa ab tak
so mujhy neind hay sazaa ab tak

tum ne jo dard-e-dil diya tha kabhi
koi us meiN hay mubtilaa ab tak

wo jisy tum ne tanha choRa tha,
wo kisi ka nahiN hua ab tak

us ki ankhaiN thiN is qadar roshan
mera din hi nahiN dhala ab tak

wo chubhan aj bhi hay kal jesi
zakhm bhi hay naya naya ab tak

maiN adam se kahaN chala aya,
raasta pa nahiN saka ab tak

wo jisy maiN ne apna ap diya
wo mera ho nahiN saka ab tak

keh do ja kr mery maseeha se,
mer chuka huN mai bar'haa ab tak

ab nahiN ho gi shairi mujh se
likh diya jo bhi likh saka ab tak

kesi bad-qismati hay ye faizan,
mil k bhi wo nhi mila ab tak...

Koi......

Mujh meiN mujh se siwa gya koei,
aakhri had tak aa gya koei.

kya try ru-bru qayaam kiea,
aur sajdy meiN kya gya koei.

jaany kya ism thy k paRhty hi,
mujh meiN yakdam sama gya koei.

her nafas jaaN-kuni ka aalam tha,
mujh ko jeena sikha gya koei.

meri beenaei salb kr k mujhy
aaeina sa dikha gya koei.

dil ki pag-DanDioN se hoty hu'ay,
mujh meiN aata chala gya koei.

us ki yaadoN ki khair ho Mola!
roshni meiN nahaa gya koei.

khaak hi thy, to kya hua jo hmaiN,
khaak hi meiN mila gya koei.

gham ki dopehr meiN mery sar pr,
surat-e-abr chaa gya koei.

dil ki weeraN sra'ay meiN aa kr,
apni yaadeN bsa gya koei.

khud meiN aany ko hi tha maiN, faizan,
aa ky phir qehr Dha gya koei....

Shash-o-panj

zehnoN ko shash-o-panj ki halat sey nikaaly
DhunDy koi tareekh k gum'gashta hawaley

her samt fazaa meiN hoN teri yaad k haaley
aisy meiN koi bhooley sey Tuk aankh laga ley

kuch un pe nazar kr, kabhi un ka bhi pata ley
beThy haiN jo is khoof sey, kab moat inheN aa ley

palkoN sey chuny ham ne teri raah k kaanTy,
ham ney gul-e-hasrat teri rahoN me uchaaley

ab in k siwaa kya mera sarmaya-e-hasti
kuch gohr ndamat k, jo ashkoN meiN haiN Dhaaley

tu jaa'ye to dey waqt gawahi tery sach ki,
jaty huay lamhoN ko youN ham'raaz bana ley

maqsood hay gar tujh ko misaal azm-e-fanaa ki,
kha'kastar-e-parwana sar-e-raah uRaa ley

(akhri 3 ashaar qita band haiN)

shak daalty haiN pehly to ye sada diloN meiN,
phir krty haiN apny taeiN wehmoN k azaaley

milta hay nishaaN saaf k in zehnoN meiN shar hay,
aaty haiN nazar saaf diloN pr lagy taaley

banty haiN ameeN ghairoN ki aqdaar k, faizan,
pehchan sey muflis, ye qalam jaiboN me Daaley

koi aa'ay to...

dam-e-aakhri hay qaraar ho, koi aa'ay to
ye kisi k gosh-guzar ho, koi aa'ay to

mry dil k soony dyar meiN ghaRi do ghaRi
wo khizaN ho ya k bahar ho, koi aa'ay to

koi aa'ay to dil-e-mubtilaa ko sambhalny
kahiN dard ho, shab-e-taar ho, koi aa'ay to

nahiN aa'ay ab koi bhi idher, kisi tor bhi
mry gird gham ka hisaar ho koi aa'ay to

bhaly bazgasht ho ya khabar tery any ki
dil-e-bad-gumaN ko qaraar ho, koi aa'ay to

koi aa'ay to mery dil ki raakh kuraidny
yahi raakh phir se sharaar ho koi aa'ay to

kisi ajnabi k qadam paReN kisi raah pr,
koi jaan-o-dil se nisaar ho, koi aa'ay to

reh gaya hay...

khayal-e-khaam hi to reh gaya hay,
wafaa ka naam hi to reh gaya hay

zara dekho to apni loh-e-dil pr....
hamara naam hi to reh gaya hay

kisi din bhool jaoN ga usy bhi,
k bas ye kaam hi to reh gaya hay

Taaluq ham meiN tum meiN kis qadar tha,
bara'ye naam hi to reh gaya hay

khirad ki raah se dasht-e-junuN tak,
safar do gaam hi to reh gaya hay...

gila kyuN kr kreN ham qissa-go se...
k sirf anjaam hi to reh gaya hay

hua hay is se ziada kya k Faizan,
koi gumnaam hi to reh gaya hay...

Monday, June 13, 2011

usay jab yaad aaye ga


usay jab yaad aaye ga k saawan lot aaya hai
bula le ga woh mujhko ya khud hi lot aayega

usay jab yaad ayega main kaise muskuRata tha
to aankhein muskuRayengi, ya daaman bheeg jayega

usay jab yaad ayega main kaise naam leta tha
to meRa naam likhega, ya apna bhi mitaayega

usay jab yaad aayega mera khaamosh sa rehna
to sab ko bol dega wo ya khud se bhi chupaayega

usay jab yaad aayega meRa nange sar phirna
to bijli ban ke karke gaa, ya baadal baN ke chhaye ga

usay jab yaad aayega mera chalna, mera phirna
to raah meiN khaaR boye ga, ya phir palkein bichayega

Kahan Hotay Ho...???

Hijar Mein Khoon Rulatay Ho,Kahan Hotay Ho?
Laut Kar Kyun Nahi Aatay Ho,Kahan Hotay Ho?

Mujh Se Bichray Ho To Mehboob e Nazar Ho Kis k?
Aaj Kal Kis Ko Manaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Yaad Aati Hain Akaily Mein Tumhari Neendein
Kis Tarah Khud Ko Sulaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Tum To Bichray They Khushion Ki Rafaqat k Liye
Ab Kiun Ashk Bahaty Ho,Kahan Hotay Ho?

Shehar k Log b Kartay Hain Ab Yehi Sawal
Tum bohat Kam Nazar Aatay Ho,Kahan Hotay Ho...???