dam-e-aakhri hay qaraar ho, koi aa'ay to
ye kisi k gosh-guzar ho, koi aa'ay to
mry dil k soony dyar meiN ghaRi do ghaRi
wo khizaN ho ya k bahar ho, koi aa'ay to
koi aa'ay to dil-e-mubtilaa ko sambhalny
kahiN dard ho, shab-e-taar ho, koi aa'ay to
nahiN aa'ay ab koi bhi idher, kisi tor bhi
mry gird gham ka hisaar ho koi aa'ay to
bhaly bazgasht ho ya khabar tery any ki
dil-e-bad-gumaN ko qaraar ho, koi aa'ay to
koi aa'ay to mery dil ki raakh kuraidny
yahi raakh phir se sharaar ho koi aa'ay to
kisi ajnabi k qadam paReN kisi raah pr,
koi jaan-o-dil se nisaar ho, koi aa'ay to