Wednesday, June 15, 2011

Shash-o-panj

zehnoN ko shash-o-panj ki halat sey nikaaly
DhunDy koi tareekh k gum'gashta hawaley

her samt fazaa meiN hoN teri yaad k haaley
aisy meiN koi bhooley sey Tuk aankh laga ley

kuch un pe nazar kr, kabhi un ka bhi pata ley
beThy haiN jo is khoof sey, kab moat inheN aa ley

palkoN sey chuny ham ne teri raah k kaanTy,
ham ney gul-e-hasrat teri rahoN me uchaaley

ab in k siwaa kya mera sarmaya-e-hasti
kuch gohr ndamat k, jo ashkoN meiN haiN Dhaaley

tu jaa'ye to dey waqt gawahi tery sach ki,
jaty huay lamhoN ko youN ham'raaz bana ley

maqsood hay gar tujh ko misaal azm-e-fanaa ki,
kha'kastar-e-parwana sar-e-raah uRaa ley

(akhri 3 ashaar qita band haiN)

shak daalty haiN pehly to ye sada diloN meiN,
phir krty haiN apny taeiN wehmoN k azaaley

milta hay nishaaN saaf k in zehnoN meiN shar hay,
aaty haiN nazar saaf diloN pr lagy taaley

banty haiN ameeN ghairoN ki aqdaar k, faizan,
pehchan sey muflis, ye qalam jaiboN me Daaley