Thursday, July 28, 2011

Daag dehalvi ki ghazal

Pukarti hai khamoshi meri fugan ki tarah
Nigahen kahtai hain sab raz-e-dil zuban ki tarah

jala k dag-e-muhabbat ne dil ko khak kiya
Bahar ai mere bag main khizan ki tarah

Talash-e-yar main chori na sar-zamin koi
Hamare panv main chakar hain asman ki tarah

Ada-e-matlab-e-dil hamase sikh jaye koi
unhen suna hi diya hal dastan ki tarah

karon na yad agar...

karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

Kiya hai pyaar jise humane zindagi ki tarah

Kiya hai pyaar jise humane zindagi ki tarah
Wo Aashanaa bhi mila humse ajnabi ki tarah

Baraa ke pyaas meri us ne haath chor diya
Wo kar raha tha muravat bhi dil lagi ki tarah

Kise Khabar thi baregi kuch aur taariki
chupega wo kisi badali mein chaandani ki tarah

kabhi na socha tha hamane "Qateel" us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah

Tuesday, July 26, 2011

Ajeeb larki hoon...

Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon
Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon

Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee hoon

Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe
Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee hoon

Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut
Simat k zaat mai ab muskurana chahtee hoon

Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai
Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee hoon

Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtee hoon

Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee hoon

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahteehoon

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtee hoon

Tu apnay dil k her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtee hoon

Jo chal sako tou...

Jo chal sako to koi aisi chaal chal jana
Mujhay gumaaN bhi na ho aur tum badal jana

Ye sholagi ho badan ki to kya kia jaay
So laazmi tha tery pairhan ka jal jaana

Tumhi karo koi darmaaN, ye waqt aa pohancha
K ab to chaara garoN ko bhi haath mal jana

Abhi abhi to judaai ki shaam aayi thee
HumaiN ajeeb laga zindagi ka dhal jana

Saji sajaai hui maut zindagi to nahiN
Mu'arrakhoN ny muqaabir ko bhi mehal jana

Har aik ishq k baad aur is k ishq k baad
FARAZ itna bhi aasaaN na tha sambhal jana

Shukriya....!!!

Wo Rah-E-Wafa Ki Saleeb Per Do Qadam Uthane Ka Shukriya
Bara Pur Khatar Tha Ye Rassta Tere Lout Jane Ka Shukriya

Hai Zamane Bhar Ka Ussol Jo Wo Usool Tune Nibha Dia
Yehi Rasam Theray Gi Moutabar Mujhe Bhool Jane Ka Shukriya

Jo Udass Hein Tere Hijr Mei Jinhe Bojh Lagti He Zindagi
Unhe Dekh Kar Sar-E-Bazam Mai Tere Munh Chupane Ka Shukriya

Mujhe Khasta Haal Sa Dekh Kar Tere Hont Phir Se Jo Khill Uthaye
Mujhe Ghum Nahi Tujhe Dekh Kar Tere Muskarane Ka Shukriya

Us Ne Kaha ....!!!

Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya...
Mein Ne Kaha Husn Bhi Tum Se Mukar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Tujh Ko Deelani Hein Choriyaan...
Mein Ne Kaha Ke Aab Woh Zamana Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Howi Kajal Ki Dhaar Si...
Mein Ne Kaha Ke Aankh Se Darya Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Yeh Teri Chiryoon* Se Dosti...
Mein Ne Kaha Ke Dil Mera Duniya Se Bhar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Kya Mila Sab Se Bigaar Ke...
Mein Ne Kaha Ke Waqt To Aacha Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Khwab Mein Aane Ka Waqt Do...
Mein Ne Kaha Ke Neend Ka Mosaam Guzar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Tere Suraj Ka Kya Bana...
Mein Ne Kaha Ke Woh Mere Dil Mein Utar Gaya...

Us Ne Kaha Ke Woh Nahi Dega Tumhara Saath...
Mein Ne Kaha Ke Woh Chalo Wada To Kar Gaya...

Akhir Ko Tang Aake Kahi Us Ne Itni Baat...
Woh Tum Kahan Gai Woh Zamana Kidhar Gaya...

Meri Zaat Ka wO NiKhaar Tha...

mUhabbatOn Ka Hisaab Tha Na AdawatOn Ka ShUmaar Tha
Kabhi Us Kii Zaat Azaab Thii Kabhi rOoh Ka wO Qaraar Tha

Meri Pyaas Itnii Hii Barh Gaii K Saraab Jitney Miley mUjhey
hUa dhOka Jis Pey gUlaab Ka wO Sulagta jAlta Sharaar Tha

Usey Main Ney mUrr Kar Sada Na Dii K Palat Gya Tha wO RAah Sey
Main KhizaaN hUa tO Pata Chala Meri Zaat Ka wO NiKhaar Tha

tOo Bhi dOor hAi Main Bhi dOor hOn kyOn Alag hOye Yeh RaaStey
Teri ChaahtOn Ka gUraiz Tha Ya Merii Anna Ka Hisaar Tha

wO Agar Kisi kO Milley Kahien tO kOii Bata Dey Usey Zara
Meray Fan e Shair Kii Be-KhUdii Teray Ishq Hii Ka KhUmaar Tha

Sunday, July 17, 2011

Kam nahin...

kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye


ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye


kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye


aisa 'Faiyyaz' gam ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye

Zara pahlay bata daina...

Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina

Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina

Zamin ke rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina

Mairay dilber k is dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churanay se zara pahlay bata daina

Kisi bhi mor pe “Mohsin” bura pao agar mujh ko
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina..

Wednesday, July 13, 2011

esi muhabbat tumse hai...

Aaj phir dil nai dua mangi
aaj phir tumhara khayal aya
aaj phir ek darr sai dil dharka
aaj phir tum par pyar aya
aaj phir ankhoon mein hain sapnai
aaj phir ek weham nai dil ko sataya
aaj phir tum nai haath thama meri yakeen ko barhaya

aaj na janai kyon dhalti shaam kai sang
ye kirnain mujhe kuch ajnabi si lag rahi hain
yun lag raha hai jaisai kuch kehna chahti hoon
apnai paas bulana chahti hoon na janai kyon
aaj purai mahaul par aik sakoot sa hai
aik ajeeb si khamoshi kyon yun lag raha hai
jaisai har taraf ek khauff sa hai ek darr janai kyon
aaj phool bhi murjhai sai lagai hain
kaliyaan bhi sehmi si lagi hain janai kyon
aaj hawa nai mujhe tumhara paighaam nahi diya
kuch nam si lagi hai aaj mujhe is ki shokhiyoon mein
ek ajnabiyat mehsoos hui hai
janai kyon ajj dil mein hazaar sawaal uthai hain
kaye weham jaag gai hain
kitni baar tumhein yaad kar kar dua mangi hai
mein nai kitni baar meri ankhain nam hui hain
kyon akhir tum to jantai ho mein kitni pagli si hoon
kaisai mein baat baar par darr jaya karti thi
kaisa khadshai dil mein paal laiti thi
kabhi tumhari narazgi ka darr
kabhi tumhein khonai ka weham
kaisai khud kai dil ko har baar samjhati thi
kai tum mere ho mere hi raho gai
magar phir bhi pagli hoon na mein
tum bhi to yehi kehtai ho mujhse
kai mein pagli hoon
yaad hai tumhein tum nai mujhse kaha tha
" jab aik baar yehi khadsha mein nai tumhei bataya
tum nai kaha tha
mein to tum mein sansain laita hoon
tum mein jeeta hoon
to tum mujhe kho kaisai sakti ho "
aaj bhi janai kab sai mein ye khayal
dil mein basai bethi hoon
kyon mein ye sab soch rahi hoon
kyon dil ko sata rahi hoon
dil mein to tum rehtai ho
kyon phir mein nahi baat sunti hoon
kya tum jantai ho
kai mujhe tum sai be inteha mohabbat hai
meri sansain tumharai naam sai chalti hain
meri dharkan tumharai naam sai dharakti hai
jahan be inteha pyar ho wahan darr bhi to hota hai na..

haan aaj shaam sai janai kyon mein ghabra rahi hoon
dhaltai sooraj ki in kirnoon mein kya hai
jo mujhe yun tang kar raha hai yehi soch rahi thi
kai achanak jaisai kahin sai tum nai mujhe pukara ho
pagli kya soch rahi ho kyon yun udas hogai ho
"kya kehti sirf tumhein dekhai gai jo samnai kharai muskura rahi thi
tumhari ankhoon mein mohabbat ki shama raushan thi
tumhari lehjai mein duniya bhar ki chahat simti hui thi
aur tum bas muskura kar mujhe dekh rahai thai
phir tum mere paas akar beth gai aur mera hath thaam kar kaha
"meri zindagi tum sai meri har saans tum sai hai
bhala mein tum bin kya kuch hoon..
khud ko adhoora mehsoos karta hoon
tumharai bina khud ko tanha mehsoos karta hoon
tumharai bina laakh jhagrai sahi laakh ranjish sahi
magar tum meri ho sirf meri raho gi
bin tumharai to mein kuch nahi..
is baat ka hamesha yakeen rakhna
meri mohabbat ko tum hamesha apnai sang paoo gi
tum bin jee nahi sakta mein kabhi bhi nahi"
aur mein tumhari in batoon par imaaan kaisai na laati
kaisai yakeen na karti ankhain moond kar
tumharai shanai sai sar tika kar
tumhein is baat ka yakeen dai diya kai
mein bhi sirf tumhari hoon aur tumhari hi rahoongi
aur phir jaisai har taraf ujala hogaya ho
jaisai har taraf kisi nai raushni kardi
aur who khadshai who weham kahin bauhat door
mujhe bauhat door lagai
who sirf aur sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai
haan sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai
meri zindagi mein raushni hai..

badgumaani kai badal jab jhat jain
to har manzar nikhra nikhra sa nazar ata hai
har taraf raushni si mehsoos hoti hai...
haan aisa hi mohabbat mein hota hai ehsaas mein hota hai..
weham badgumaan kartai hain
magar mohabbat gumaan sai kahin zayada khubsurat hoti hai...
aisi hi mohabbat mujhe tumse hai aur hamesha rahai g...!!!

Kaisay Kahon ????

Kaise kahun ke main tumse kitna pyar karta hoon,
khud se bhi zyada main tum pe aitbaar karta hoon.

Ye zindagi hi kya tum jaan maang lo,
tere kadmon mein main ye jaan nisar karta hoon.

Hamesha wafa karunga main ye waada hai mera,
taarikh gawah hai poora waada har baar karta hoon.

Koi jo pyar ko mere aazmaye ga kabhie,
har halaat mein khara utrega ye qarar karta hoon.

Na chhodna umeed ko beech raah mein ‘Sahil’,
mushqil hai safar par ise main paar karta hoon.

sirf itna kehna hai PYAR HAI TUMSE...‏

Sirf itna hi kehna hai pyar hai tumse
jazbaton ki koi numaish nahi ki

pyar ke badle sirf pyar manga hai
rishte ki tu koi ghuzarish nahi ki

chacho tu bhola deyna humain dilse
sada yaad rakhne ki sifarish nahi ki

khamoshi se tofan seh lete hain jo
un badalon ne izhar ki barish nahi ki

tumhain hi mana hai rehnuma apna
aur tu kisi chez ki khowahish nahi ki

sirf itna kehna hai PYAR HAI TUMSE...

Wahi Ru-Ba-Ru Hai

Mera Jee Hai Jab Tak, TERI Justaju Hai
Zabaan Jab Talak Hai, Yahi Aarzoo Hai

KHUDA Jaane Kya Hoga Anjaam Iss Ka
Main Besabar Itna Hoon Wo Tund-Khu Hai

Tamanna TERI Hai, Agar Hai Tamanna
TERI Aarzoo Hai, Agar Aarzoo Hai

Kiya Sair Sab Hum Gulzaar-e-Duniya
Gul-e-Dosti Main Ajab Rang-o-Boo Hai

Ganimat Hai Ye Deed Wa Deed-e-Yaaraa’n
Jahaan Mund Gayi Aankh, Main Hoon Na Tu Hai

Nazar Mere Dil Ki Pari DARD Kis Par
Jidhar Dekhta Hoon, Wahi Ru-Ba-Ru Hai

Waqt k kitny hi dhaaron se guzarna hai abhi

Waqt k kitny hi dhaaron se guzarna hai abhi
Zindagi hai to kai rang se marna hai abhi

Cut gaya din ka dehekta hua sehraa bhi,to kia
Raat k gehre samandar main utarna hai abhi

Zehen k reze to phelay hain fiza main har soo
Jism ko toot k har gaam bikharna hai abhi

Aik aik rang ura lay gai be meher hawa
Kitne khaakay hain jinhein bharna hai abhi

Tu Misl-e-Rag-e-Jaan hai , Tou kiyon mujh se khafa hai..?

Hairaan hoon ke ye konsa Dastoor-e-Wafa hai
Tu Misl-e-Rag-e-Jaan hai , Tou kiyon mujh se khafa hai..?

Tu Ahl-e-Nazer hai to nahi tuj ko khaber kiyoon
Pehlu mein tere koi zamanay se khara hai

Likha hai mera naam samander pe hawa ne
Or dono ki fitrat mein sukoon hai na wafa hai

Shikwa nahi mujh ko ke hoon Mehroom-e-Tamanna
Gham hai to faqt itna ke tu dekh raha hai

Hum rakhte hain dawa k hai qaboo hamain dil per
Tu saamnay aa jaye to ye baat juda hai ...!

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay...!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Bhaat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay...!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Din Thay Bhulaa Kay Tujeko..!!
Hum Tujey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dhukta Tha...!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay...!!

Bujnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamn'don Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey Thay...!!

Mutaalba Humara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi

Mutaalba Hamara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi
Marta Tu Hay Hum Pay Wo Or Kabhi Jatata Nahi


Hum Nay Kab Chaha Jee Jaan Say Chahay Humay Bhi
Per Wo Tu Itna Zalim Hay Dekh Kay Bhi Muskurata Nahi


Karta Tu Hay Roshiniyon Ki Barish Ka Waada Akser
Fil-Haal Tu Andheray Main Haath Bhi Barhata Nahi


Ay DIL Tu Hi Yaqeen Dila Us Kay Ahad -e- Wafa Ka
Jo Hay Sang Zamanay Kay Or Hum Say Nazar Bhi Milata Nahi

Zindagi Bhi Kisi Uljhan Ki Tarah Lagti Hai.

Dost Jaisi Kabhi Dushman Ki Tarah Lagti Hai
Zindagi Bhi Kisi Uljhan Ki Tarah Lagti Hai


Teri Aankhon Mein Udaasi Hai Mairey Ghar Ki Tarah
Teri Haalat Mairey Aangan Ki Tarah Lagti Hai


Aik Lamhey Mein Mairey Mann Ko Bhigo Daiti Hai
Uss Ki Her Baat Hi Saawan Ki Tarah Lagti Hai


Tu Bhi Chaahat Ke Taqazon Say Nahin Waaqif Hai
Teri Uljhan Mairi Uljhan Ki Tarah Lagti Hai !

Bicher kar log ziyada jiya nahi kartay

yunhi tu shaakh se pattay gira nahi kartay
bicher kar log ziyada jiya nahi kartay

jo anay walay hein mausam unhein shumar mein rakh
jo din guzar gaye inn ko gina nahi kartay

na dekha jaan k uss ne..! koi sabab hoga
issi khayyal se hum dil bura nahi kartay

woh mil geya tu kiya qissa firaaq kahin
khushi k lamhon ko yun be maza nahi kartay

nishaat-e-qurb ghum-e-hijar k ewaz mat mang
dua k naam pe yun bad dua nahi kartay

munafqat pe jinhein ikhtayyar hasil hai
woh arz kartay hein, tujh se gilah nahi kartay

humaray qatal pe *MOHSIN* ye pesh-o-pas kaisi
hum aisay log talab khoon baha nahi kartay

Mohsin Naqvi

Kya Meri Har Yaad Ab Bhi Raat Bhar Jagaati Hai Tumhain..?????

Kya Ab Bhi Meri Jhalak Khwabon Mein Nazar Aati Hai Tumhain..?
Kya Meri Har Yaad Ab Bhi Raat Bhar Jagaati Hai Tumhain..??

Har Andhera TuMhain Mujh Tak Khainch Lata Tha
Kya Ab Bhi Koi Roshni Is Tarah Bulati Hai Tumhain..?

Mera Har Raaz Tumhain Hawa Hi Bata Jaati Thi
Kya Ab Bhi Khushbu Mere PaigaM Sunati Hai Tumhain

Meri Takleef Par Wo Aankh Mein NaMi Ka Aa Jana,
Kya Ab Bhi Meri Koi Baat Rulati Hai Tumhain

Tumhara Har Jazba, Tumhari Aankh Mujhse Keh Deti,
Kya Ab Bhi Wo Kuch Na Keh Kar Har Baat Batati Hai Tumhain

Har Awaz Pe Tumhain Mere Aane Ka Hota Tha Guman
Kya Ab Bhi Koi Aahat Youn Satati Hai Tumhain..?

Yeh Chuban Akelay Pan Ki, yeh Laggan Udas Shab Se...

Yeh Chuban Akelay Pan Ki, yeh Laggan Udas Shab Se,
Main Hawa Se Lar Raha Hun Tujhay Kya Bataon Kab Se,

Yeh Shehr Ki Sazishein Thien, K Yeh Inteqaam-e-Shab Tha?
Mujhe Zindagi Ka Suraj Na Bacha Saka Ghazab Se,

Tere Naam Se Shafa Ho Kar Koi Zakham Woh Ataa Kar,
Mere Naama-e-Bar! Milay Toh, Usay Kehna Yeh Adab Se,

Woh Jawan Rutoon Ki Shaamein, Kahan Kho Gayi Hain? Mohsin,
Main Toh Bujh K Reh Gaya Hun, Tu Bichar Gaya Hai Jab Se.....!!!

Kabhi jo teri Judai ki baat kerta hon!!!

Tumhari yaad k Barzakh se jab guzarta hon
Mei reza reza Simat'ta hon phir Bikharta hon

Nazar mei rakhta hon pehle mei sada Khakon ko
Phir un mei apni Mohabbat k rang bherta hon

Usay pasand hai kia? or Napasand hai kia?
Mei zindagi mei bari Aehtiat kerta hon

Tumhari yaad ka lashkar Lahu Lahu kerde
Mei jab bhe neend ki Sarhad pe paon dherta hon

Badan mei reengney lagti hai Bebasi Abid
Kabhi jo teri Judai ki baat kerta hon!!!

Mere Qatil ko pukaaro k main zinda hoon abhi....

Mere Qatil ko pukaaro k main zinda hoon abhi
Phir se maqtal ko sanwaro k main zinda hoon abhi

Ye shab-e-hijar to sathi hai meri barson se
Jao so jao sitaro k main zinda hoon abhi

Ye pareshan se gesuu nahi dekhy jatay
Apni zulfon ko sanwaro k main zinda hon abhi

Laakh mojon main ghira hoon abhi dooba to nahi
Mujh ko sahil se pukaaro k main zinda hoon abhi

Qabar se aaj bhi""MOHSIN""ki aati hai sada
Tum kahan ho mere yaaro k main zinda hoon abhi....

Woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Jo kabhi teri nazar se guzar jaya kerte hain
woh sitare aksar toot ke bikhar jaya kerte hain

Hum kisi se mahobbaton ka dawa to nahi kerte
haan magar wafaon pe hum mar jaya kerte hain

Mausam ke hijir bhi.. ye guzare ga to kabhi
mausam ke isi aas main guzar jaya kerte hain

Mohabbaton ki ehmiat se waqif nahi hai woh
kuch log bas inhi se sawar jaya kerte hain

Bujhati to nahi barishoon se selaab hi sada
phir teri wafa se kyun hum dar jaya kerte hain

Kuch log apne dukhoon ki numaish nahi kerte
bas khamoshi se ander hi bikhar jaya keret hain

Woh aansoo jo palkoon ki zeenat nahi bante
woh chup chap se dil main utar jaya kerte hain

Zamane bher ke gum aur ek tera gum

Mohabbat karne waale kam na honge
teri mehfil mein lekin hum na honge

zamaane bhar ke gham ya ek tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge

dilo'n ki uljhanein badhti rahengi
agar kuch mashvare baaham na honge

agar tu ittefaaqan mil bhi jaaye
teri furqat ke sadme kam na honge

'Hafeez' unn se main jitna badgumaa'n hoon
wo mujh se iss qadar barham na honge.

Pass Aao, Ak Eltaja Sun Lo

Pass Aao, Ak Eltaja Sun Lo
Pyaar Hay Be Panah Sun Lo

Ak Tum Hi Ko Khud Say Maanga Hay
Jab Bhi Koii Dua Maangi Sun Lo

Ibtada , Ishq Ki , Howa Tum Say
Tum Ko Chahat Ki Intaha Sun Lo

Bin Teray Jee Nahi Sako Ga Main
Lout Aao Meri Sada Sun Lo

Dekh Lo Zindagi Adhori Hay
Na Raho Or Ab Juda Sun Lo

Koii Afsana Koii Baat Purani Likhtay

Koii Afsana Koii Baat Purani Likhtay
Itni Fursat Hi Na Thi Apni Kahani Likhtay

Teri Umeed Kay Sahil Say Juray Hotay Ager
Meray Sehra Teray Darya Ki Rawani Likhtay

Kuch Kitabon Main Tera Phool Chupaya Kartay
Apnay Takiye Pay Teri Koii Nishani Likhtay

DIL Ka Aangan Teri Khushboo Say Mehakta Shab Bhar
Hum Mohabbat Say Tujhay Raat Ki Raani Likhtay

MAT LOUT K ANA MAIN SAMBHAL JAAON GA..!!!

Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga

Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga

Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga

Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon ga

Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon ga

isi ehtiyaat me main raha

Mere saath tum bhi dua karo yonh kisi ke haQ me bura na ho
kahin aur ho na ye haadasaa koi raaste me judaa na ho


Mere ghar se raat ki sej tak woh ik Aansowon ki lakeer hai
zara barrh ke chaand se poochena woh isi taraf se geya na ho


sar-e-shaam thehri hui zameen, Aasmaan hai Jhukaa huwa
isi morr par mere waaste woh chiraag le kar kharra na ho


woh farishte aap hi dhooNdhiye , kahaaniyon ki kitaab me
jo buraa kahain na bura sunain .koi shaKhs un se khafaa na ho

wo wisal ho keh firaQ ho teri aag mehke gi Ek din
woh Gulab ban ke khile ga kya jo chiraag ban ke jalaa na ho

mujhe yonh lagaa ke khushbu ke hontH titlion ne chu liye
inhi zard patton ki ott me koi phool soya huwa na ho

isi ehtiyaat me main raha isi, ehtiyaat me wuh raha
wuh kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho

Tu Bhi "Dua" Ko Hath Utha'aye Khuda Kare

Khuda na kare k (Khuda kare)
Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paaye Khuda Karey
Tujh Ko Tera Naseeb Rulaye Khuda Karey

Raaton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Karey
Too Dar-ba-Dar Ki Thokarein Khaaye Khuda Karey

Aaye Bahaar Terey GulistaaN Mein Baar Baar
Tujh Par Kabhi Nikhaar Na Aaye Khuda Karey

Manzil Kabhi Bhi Piyar Ki Tujh Ko Na Mil Sakey
Too Bhi Dua Ko Haath Uthaaye Khuda Karey

Tujh Par Shab-e-Wisaal Ki Raatein Haraam Hon
Shammein Jala Jala Ke Bujhaaye Khuda Karey

Ho Jaayein Bad Duaayein sari Meri Ghalat
Ab Un Pe Koyi Harf Na Aaye Khuda Karey

Tera is terha muje dekhna,kaheen meri umer ghata na de

Rag-o-pay mein dard sama chuka,aye tabeeb mujh ko dawa na de
main andheray pan ko hon janta,muje tu faraib-e-baqa na de

mere rub tu malik-e-do jahan,kabi bat sun mere qalb ki
wo hi baat jo na koi sunay,muje koi aisi saza na de

tu gaye dino'n main jo sath tha,mere qalb-o-ja'n ka sabbat tha
ye bila waja tera roothna,meri zindgi ko mita na de

wo jo umr thi zara kaam ki,wo tarap tarap k guzaar di
magar ab to dard ilaj hai,muje ab koi bhi shafa na de

tere samnay mere hum-nafs,meri dharkano'n ki bisaat kya
tera is terha muje dekhna,kaheen meri umer ghata na de

tujay ilm hai aye tabeeb-e-jaan,tera pyar meri hayaat hai
main mareez hon tere qurb ka,muje door rah k dawa na de

yahan sub andhair perast hain,yahan roshni ki mijaal kya
yeh chiragh phir b chiragh hai,koi atay jatay bujha na

Ye bhool ja k tujhko kabhi bhool ja'oon mai

Auro'n say aashnayee gawara nahee'n mujhay
teri tarah tau koi bhi pyara nahee'n mujhay

ye bhool ja k tujhko kabhi bhool jaoo'n mai
ye bhool ja sanam k tu pyara nahee'n mujhay

dukh usko ye thhehra k nahee'n uskay paas mai
mujhko ye gham k uss nay pukara nahee'n mujhay

sikha hai dushmano'n say jo kutch mainay umr bhar
itna tau dosto'n nay sanwara nahee'n mujhay

ruswaiyyo'n K khauf say mai daikhta nahee'n
ye mat samajh k taab e nazara nahee'n mujhay

Monday, July 11, 2011

Suna hai

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain

Suna hai bole to baton se phool jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain

Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain

Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain

Acha nahi lagta.

Kisi se baat karna bolna acha nahi lagta
Tujhe dekha hai jab se dosra koi acha nahi lagta

Teri ankhon mein jab se mein ne apna aks dekha hai
Mere chehere ko koi aaina acha nahi lagta

Tere bare mein din bhar sochta rehta hoon mein lekin
Tere bare mein sab se pochna acha nahi lagta

Yahaan mohabbat karne wale barbaad rehte hain
Yeh darya hai isse kacha ghara acha nahi lagta

Mein ab chahat ki us manzil per aa pohcha hoon
Teri janib kisi ka dekhna acha nahi lagta.