Wednesday, July 13, 2011

isi ehtiyaat me main raha

Mere saath tum bhi dua karo yonh kisi ke haQ me bura na ho
kahin aur ho na ye haadasaa koi raaste me judaa na ho


Mere ghar se raat ki sej tak woh ik Aansowon ki lakeer hai
zara barrh ke chaand se poochena woh isi taraf se geya na ho


sar-e-shaam thehri hui zameen, Aasmaan hai Jhukaa huwa
isi morr par mere waaste woh chiraag le kar kharra na ho


woh farishte aap hi dhooNdhiye , kahaaniyon ki kitaab me
jo buraa kahain na bura sunain .koi shaKhs un se khafaa na ho

wo wisal ho keh firaQ ho teri aag mehke gi Ek din
woh Gulab ban ke khile ga kya jo chiraag ban ke jalaa na ho

mujhe yonh lagaa ke khushbu ke hontH titlion ne chu liye
inhi zard patton ki ott me koi phool soya huwa na ho

isi ehtiyaat me main raha isi, ehtiyaat me wuh raha
wuh kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho