Wednesday, July 13, 2011

Tera is terha muje dekhna,kaheen meri umer ghata na de

Rag-o-pay mein dard sama chuka,aye tabeeb mujh ko dawa na de
main andheray pan ko hon janta,muje tu faraib-e-baqa na de

mere rub tu malik-e-do jahan,kabi bat sun mere qalb ki
wo hi baat jo na koi sunay,muje koi aisi saza na de

tu gaye dino'n main jo sath tha,mere qalb-o-ja'n ka sabbat tha
ye bila waja tera roothna,meri zindgi ko mita na de

wo jo umr thi zara kaam ki,wo tarap tarap k guzaar di
magar ab to dard ilaj hai,muje ab koi bhi shafa na de

tere samnay mere hum-nafs,meri dharkano'n ki bisaat kya
tera is terha muje dekhna,kaheen meri umer ghata na de

tujay ilm hai aye tabeeb-e-jaan,tera pyar meri hayaat hai
main mareez hon tere qurb ka,muje door rah k dawa na de

yahan sub andhair perast hain,yahan roshni ki mijaal kya
yeh chiragh phir b chiragh hai,koi atay jatay bujha na