Wednesday, July 13, 2011

esi muhabbat tumse hai...

Aaj phir dil nai dua mangi
aaj phir tumhara khayal aya
aaj phir ek darr sai dil dharka
aaj phir tum par pyar aya
aaj phir ankhoon mein hain sapnai
aaj phir ek weham nai dil ko sataya
aaj phir tum nai haath thama meri yakeen ko barhaya

aaj na janai kyon dhalti shaam kai sang
ye kirnain mujhe kuch ajnabi si lag rahi hain
yun lag raha hai jaisai kuch kehna chahti hoon
apnai paas bulana chahti hoon na janai kyon
aaj purai mahaul par aik sakoot sa hai
aik ajeeb si khamoshi kyon yun lag raha hai
jaisai har taraf ek khauff sa hai ek darr janai kyon
aaj phool bhi murjhai sai lagai hain
kaliyaan bhi sehmi si lagi hain janai kyon
aaj hawa nai mujhe tumhara paighaam nahi diya
kuch nam si lagi hai aaj mujhe is ki shokhiyoon mein
ek ajnabiyat mehsoos hui hai
janai kyon ajj dil mein hazaar sawaal uthai hain
kaye weham jaag gai hain
kitni baar tumhein yaad kar kar dua mangi hai
mein nai kitni baar meri ankhain nam hui hain
kyon akhir tum to jantai ho mein kitni pagli si hoon
kaisai mein baat baar par darr jaya karti thi
kaisa khadshai dil mein paal laiti thi
kabhi tumhari narazgi ka darr
kabhi tumhein khonai ka weham
kaisai khud kai dil ko har baar samjhati thi
kai tum mere ho mere hi raho gai
magar phir bhi pagli hoon na mein
tum bhi to yehi kehtai ho mujhse
kai mein pagli hoon
yaad hai tumhein tum nai mujhse kaha tha
" jab aik baar yehi khadsha mein nai tumhei bataya
tum nai kaha tha
mein to tum mein sansain laita hoon
tum mein jeeta hoon
to tum mujhe kho kaisai sakti ho "
aaj bhi janai kab sai mein ye khayal
dil mein basai bethi hoon
kyon mein ye sab soch rahi hoon
kyon dil ko sata rahi hoon
dil mein to tum rehtai ho
kyon phir mein nahi baat sunti hoon
kya tum jantai ho
kai mujhe tum sai be inteha mohabbat hai
meri sansain tumharai naam sai chalti hain
meri dharkan tumharai naam sai dharakti hai
jahan be inteha pyar ho wahan darr bhi to hota hai na..

haan aaj shaam sai janai kyon mein ghabra rahi hoon
dhaltai sooraj ki in kirnoon mein kya hai
jo mujhe yun tang kar raha hai yehi soch rahi thi
kai achanak jaisai kahin sai tum nai mujhe pukara ho
pagli kya soch rahi ho kyon yun udas hogai ho
"kya kehti sirf tumhein dekhai gai jo samnai kharai muskura rahi thi
tumhari ankhoon mein mohabbat ki shama raushan thi
tumhari lehjai mein duniya bhar ki chahat simti hui thi
aur tum bas muskura kar mujhe dekh rahai thai
phir tum mere paas akar beth gai aur mera hath thaam kar kaha
"meri zindagi tum sai meri har saans tum sai hai
bhala mein tum bin kya kuch hoon..
khud ko adhoora mehsoos karta hoon
tumharai bina khud ko tanha mehsoos karta hoon
tumharai bina laakh jhagrai sahi laakh ranjish sahi
magar tum meri ho sirf meri raho gi
bin tumharai to mein kuch nahi..
is baat ka hamesha yakeen rakhna
meri mohabbat ko tum hamesha apnai sang paoo gi
tum bin jee nahi sakta mein kabhi bhi nahi"
aur mein tumhari in batoon par imaaan kaisai na laati
kaisai yakeen na karti ankhain moond kar
tumharai shanai sai sar tika kar
tumhein is baat ka yakeen dai diya kai
mein bhi sirf tumhari hoon aur tumhari hi rahoongi
aur phir jaisai har taraf ujala hogaya ho
jaisai har taraf kisi nai raushni kardi
aur who khadshai who weham kahin bauhat door
mujhe bauhat door lagai
who sirf aur sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai
haan sirf tumhari mohabbat kai yakeen sai
meri zindagi mein raushni hai..

badgumaani kai badal jab jhat jain
to har manzar nikhra nikhra sa nazar ata hai
har taraf raushni si mehsoos hoti hai...
haan aisa hi mohabbat mein hota hai ehsaas mein hota hai..
weham badgumaan kartai hain
magar mohabbat gumaan sai kahin zayada khubsurat hoti hai...
aisi hi mohabbat mujhe tumse hai aur hamesha rahai g...!!!