Friday, September 2, 2016

Ankh bher aye....#D

Dhoka us se jo khaya to ankh bher ai
Roag dil ko lagaya to ankh bher ai

Baras raha hay sawan haseen mausam hay
Jo saath uska na paya to ankh bher ai

Kisi inam ki sorat mila achanak tha
Usi ko paa k ganwaya to ankha bhar ai

Wo jis ki khatir zamanay  ko main bhula bethi
Tamasha us ne dekhaya to ankh bher ai

Jo mujhse pochay bina sans tak na leta tha
Usi ne jee ko jalaya to ankh bher ai

Meray nam ki japtah tha raat din maala
Jo bholne pe aya to ankh bher ai

Us se milne ki khawahish bari thi dil ko meray
Na koi raasta paya to ankh bher ai

Wo hans para tha sun k mera fasana e dil
Mazak us ne uraya to ankh bher ai

Jo chorta he nahi tha kisi bhi paal mujhko
Mila jo ban k paraya to ankh bher ai

Kisi bhi ghum ko maine kabhi na gardana
Rote usko jo paya to ankh bher ai

Ana ki jang main wo mujhko haar k khush hay....
Shagufta Dil ko bataya to ankh bher ai....

Saturday, August 27, 2016

Tumhare samnay....#D

Aur kia kerta bayan ghum tumhare samne
Meri ankhain ho gai purnum tumhare samne

Hum judai main tumhari mar bhi sakte hain magr
Chahte ye hain k nikle dum tumhare sane

Jisme hum dono k bachpan ki bhi aik tasveer hay
Dhond ker laya hon..wo album tumhare samne

Atay, atay lab per reh jati hain ...dil ki hasratain
Kholte hain hum zuban kam , kam tumhare samne

Tum samunder ki terha agoosh waa kertay nahi
Hum to ban jate hain mojay yum tumhare samne

Kis liye tum neend main sharma rahe ho is terha
Khuwab main kia agaye thay, Hum tumhare samne


Friday, August 12, 2016

Khulasaa e dil.....

Yaad rakho gay aisa tohfa bhejon gi
Apni ankh ka behta darya bhejon gi

Meri ankh main hijr samander behta hay
Paas rahogay phir bhi piyasa bhejon gi

Daman main khairat sambhalay rakhna tum
Main tumko is bar bhi kaasa bhejon gi

Tum pardais se wapis bhi a sakte ho
Tumko pyar bhara sandaisa bhejon gi

Kaash tumhari ankh se jal thal ho jaye
Dhoop ka jangal , durd ka sehra bhejon gi

Khat may ansoo kuch tasveerain meri hain
Bheegi ankhain bheega chehra bhejon gi

Fari kese pyar ho gaya aik larkay se
Chahat se bharpur khulasa bhejon gi...

Poet ..... Farida Fari

Friday, July 22, 2016

Bohat takleef hoti hay....

Taluq Toot Jaye Ga Mera Sare Zmane Se​
Mere Apne Kahan Hon Ge Tmhe Apna Bunana Se?​
Tumhare Sath Rehne Se Mujhe Tskeen Milti Hai​
Bohat Takleef Hoti Hai Tumhare Door Jane Se!​
Mere Ghar Ko Jala Dena,Magar Yeh Zehan Main Rakhna​
Ujala Mil Nahi Sakta,Kisi Ka Ghar Jalane Se​
Humri JAN Jay Gi To Phir Tum Jan Jao Ge​
K Hasil Kuch Nahi Hota Kisi Ko Azmane se!​
Tumhara Naam Kase Mita Don Apni Kahani Se​
Bohat Gehra Taluq Hai Tera Mere Fsane Se.​

Jab HUM kahin nahi honge...IA

جب ہم کہیں نہ ہوں گے تب شہر بھر میں ہوں گے
پہنچےگی جو نہ اس تک ہم اس خبر میں ہوں گے

تھک کر گریں گے جس دم بانہوں میں تیری آ کر
اُس دَم بھی کون جانے ہم کس سفر میں ہوں گے

اےجانِ عہد و پیماں ہم گھر بسائیں گے ہاں
تُواپنے گھر میں ہو گا، ہم اپنے گھر میں ہوں گے

میں لے کے دل کے رشتے گھر سے نکل چکا ہوں
دیوارو دَر کے رشتے دیوار و دَر میں ہوں گے

تجھ عکس کے سوا بھی اے حُسن وقتِ رخصت
کچھ اور عکس بھی تو اس چشمِ تر میں ہوں گے

ایسےسراب تھے وہ ایسے تھے کچھ کہ اب بھی
میں آنکھ بند کر لوں تب بھی نظر میں ہوں گے

اس کےنقوشِ پا کو راہوں میں ڈھونڈنا کیا
جو اس کے زیر پا تھے وہ میرے سر میں ہوں گے

وہ بیشتر ہیں جن کو کل کا خیال کم ہے
تُو رُک سکے تو ہم بھی ان بیشتر میں ہوں گے

آنگن سے وہ جو پچھلے دالان تک بسے تھے
جانےوہ میرے سائے اب کِس کھنڈر میں ہوں گے

یہ تو کمر عجب ہے اِک سوچ ہے جو اَب ہے
اب جانے ہاتھ میرے کِس کی کمر میں ہوں گے​

Meray Qareeb aa....

یونہی تنہا تنہا نہ خاک اُڑا، مری جان میرے قریب آ ​
میں بھی خستہ دل ہوں تری طرح مری مان میرے قریب آ​

میں سمندروں کی ہوا نہیں کہ تجھے دکھائی نہ دے سکوں ​
کوئی بھولا بسرا خیال ہوں نہ گمان میرے قریب آ​

نہ چھپا کہ زخم وفا ہے کیا، تری آرزؤں کی کتھا ہے کیا ​
تری چارہ گر نہ یہ زندگی نہ جہان میرے قریب آ​

تجھے ایسے ویسوں کی دوستی نے بہت خراب و خجل کیا ​
کسی جھوٹ کی یہ نقاب رُخ پہ نہ تان میرے قریب آ​

جو نکل سکے تو نکال لے کوئی وقت اپنے لئے کبھی ​
مرے پاس بیٹھ کے رو تو لے کسی آن میرے قریب آ​

نہ مکالمہ ہو نہ گفتگو فقط اتنا ہو کہ نہ میں نہ تو ​
ملیں صرف اپنے جلے ہوئے دل و جان میرے قریب آ​

Qismat ka likha.....

کہیں تم اپنی قسمت کا لکھا تبدیل کر لیتے
تو شاید ہم بھی اپنا راستہ تبدیل کر لیتے

اگر ہم واقعی کم حوصلہ ہوتے محبت میں
مرض بڑھنے سے پہلے ہی دوا تبدیل کر لیتے

تمہارے ساتھ چلنے پر جو دل راضی نہیں ہوتا
بہت پہلے ہم اپنا فیصلہ تبدیل کر لیتے

ہمیں ان موسموں کی کیا خبر ملتی اگر ہم
گھٹن کے خوف سے آب و ہوا تبدیل کر لیتے

جدائی بھی نہ ہوتی زندگی بھی سہل ہو جاتی
جو ہم ایک دوسرے سے مسئلہ تبدیل کر لیتے​

Us Aik Shakhs k pyar main....

مجھے سارے رنج قبول ہیں اُسی ایک شخص کے پیار میں ​
مری زیست کے کسی موڑ پر جو مجھے ملا تھا بہار میں 

وہی اک امید ہے آخری اسی ایک شمع سے روشنی 
کوئی اور اس کے سوا نہیں, میری خواہشوں کے دیار میں 

وہ یہ جانتے تھے کہ آسمانوں, کے فیصلے ہیں کچھ اور ہی 
سو ستارے دیکھ کے ہنس پڑے مجھے تیری بانہوں کے ہار میں 

یہ تو صرف سوچ کا فرق ہے یہ تو صرف بخت کی بات ہے 
کوئی فاصلہ تو نہیں, تیری جیت میں میری ہار میں 

ذرا دیکھ شہر کی رونقوں سے پرے بھی کوئی جہان ہے 
کسی شام کوئی دیا جلا کسی دل جلے کے مزار میں 

کسی چیز میں کوئی ذائقہ کوئی لطف باقی نہیں رہا 
نہ تیری طلب کے گداز میں نہ میرے ہنر کے وقار میں​

Friday, June 17, 2016

Ik Baar phir kaho zara....#D


Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Meri Sari Kainaat
Teri Ik Nigah Per Nisar Hay

Meri Teera Zindagi Ka Noor Too
Jannat-e-arzi, Mera Shehoor Too
Lazzat-e-jaan, Rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazzara, Mehvesh, Mehjabeen
Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Too Bohat Haseen Hay
Nigah Main Shabab Ka Khumar Hay

Sharm Kay Parday Main Pinhaan Shokhiyan
Muskurahat Main Nihaan Hon Bijliyan
Her Ada Teri Mujhay Merghoob Hay
Dehr Ki Her Cheese Say Mehboob Hay
Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Paiker-e-fani Hay Kya
Kay Dil To Teri Rooh Per Nisar Hay

Jism Fani, Husn Bhi Fani Mera
Jazb-e-dil Lekin Hay Lafani Mera
Mard Herjai Hay Her Gul Per Nisar
Dil Magar Deti Hay Aurat Aik Bar 

Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Mujh Ko Ghair Ka Khayal
Tauba Tauba Bus Nagavar Hay

Man Vohi Hoon, Man Badal Sakti Nahin
Doosray Saanchay Main Dhal Sakti Nahin
Ab Teri Taiver, Teray Qaul Aur Hain
Man Kahan Ab Qabil-e-ghaur Aur Hain 
Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Mera Ishq
Mehr Aur Maah Say Ziyada Paidar Hay

Meray Sir Ki Jhooti Qasmain Kya Hooin
Zahiri Ulfat Ki Rasmain Kya Hooin
Girya-e-paihem Vo Uljhan Kya Hui
Aanch Ki Tezi Vo Dharkan Kya Hui
Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Mera Ishq
Ustuvar Rooh Say Ziyada Ustuvar Hay

Baandh Ker Ehd-e-vafa Torra To Kya
Sheesha-e-dil Torr Ker Jorra To Kya
Sub Samajhto Hoon Magar Maazoor Hoon
Dil Ki Iss Feryaad Say Majboor Hoon
Ik Bar Phir Kaho Zara (x2) Kay Meri Sari Kainaat
Teri Ik Nigah Per Nisar Hay

Monday, April 25, 2016

Sabhe rasmain nibhana chahti hon....

Sabhe manzar mitana chahti hun
Tujhay dil se bhulana chahti hun

Hain jitne zakhm paey chahaton main
Wo kaghaz per sajana chahti hun

Meri ankhon main abdi roshni ho
Dia dil main jalana chahti hun

Meray dil main faqat chahat hy uski
Yaqeen usko dilana chahti hun

Mohabat, Pyar aur chahat ki nighat
Sabhi rasmain  nibhana chahti hun

Sunday, April 24, 2016

Dil zamanay k hasaey maine....

Zakhm bhi laakh chupaye maine
Rang pay rang sajaye maine

meray ghar main to andhaira he raha
kitnay he deep jalaye maine

dil k sagar main uthay jab bhi bhanwer
ashk palkon pay chupaye maine

zindagi apni sisakti he rahi
dil zamanay k hasaey maine

tujhko pane k liye duniya main
jaan ko roag lagaey maine

Chaon ai na muyaser mujhko
Kitne he pair lagaey maine

khud ko he di hain sada'aain javeed
Dekh ker moat k saey maine

Koi marta nahi kisi k liye...

Ajab meri kahani hay alag terz e bayan mera
Na koi hamsafar mera na koi raazdaan mera

Thikana bhi nahi rakhta na koi mera maskun hay
Na ghar mera na der mera na koi ashyaan mera

Talash e yaar main he kho gaya hon is terha se
Nishan paa ker bhi nahi milta koi nishaan mera

Janoon ishq main phirta hon main sehra sehra ab
Na koi meri manzil hay na koi karwaan mera

Wednesday, March 16, 2016

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon...

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon
Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon,

Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko
Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon,

Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai
Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon,

Andha Hoon Pkar Le Haath Mera
Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon,

Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish
Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon,

Dariya Ko Shikast Di Hai Maine
Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon,

Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko
Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon,

Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se
Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon,

Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se
Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon,

Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse
Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon,

Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa ?
Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon.

chor Jaon Ga....

Ye Ronaqaein Ye Loog Ye Ghar chor Jaon Ga
Ik din Mein roshni ka Nagar chor jaon Ga

Marnay Say Payshtar Meri Awaz Mut Chura
Mein Apni Jaidaad Idhar Chor Jaon Ga

Qatil Mera Nishaan Mitaanay pay Hay Baazidd….
Mein Bhi Sinaa’n Ki Nooq Pay Sir Chor Jaoon Ga

Tu Nay Mujhay Chiragh Samajh kar Bujha diya
Laykin Tery Liyay Mein Sehar Chor Jaoon Ga

Aa’inda Nasal Mujh Ko Parhay gi Ghazal Ghazal
Mein Harf Harf Apna Hunar Chor Jaoon Ga..

Tum Apnay Aabloo’n Ko Bachatay Ho Kis LIyay ?
Mein to Safar Mein Rakht-e-Safar Chor Jaoon Ga

Mein Apnay Doobnay Ki Alaamat Kay toor par!
Darya Mein Aik Aadh Bhanwar Chor Jaoon Ga

Lashkar Karain Gay Meri Dalayri Pay Tabsaray
Mar Kar Bhi Zindagi Ki Khabar Chor Jaoon Ga

“Mohsin” Mein Us Kay Zakhm Khareedoon Ga Aik Din
Aur Us K Paas La’al-o-Gohar Chor Jaoon Ga

Raaton Ki Bedaari....

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak…….!!

Zakham-e-Tabassum ....

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila
Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat
Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaaj Pe Hairaa.n Hai Zindagi Ka Shaoor
Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila

Mein Os Se Maangta Kia Khoon Bahaa Jawaani Ka
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke

Mein Jis Ko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein
Mujhe Mila Bhi Tou Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Dya “Mohsin”
Wo Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila
-Mohsin Naqvi

Dasht-e-Wafa....

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha
Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley
Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi
Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy “MOHSIN”
Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Diya Khud Se Bujha Dena....

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena