Wednesday, August 30, 2017

Dil k Qanoon...

Apna mizaj e kaar badalne nahi diya
Dil ne koi nizam bhi chalne nahi diya

Ae maah taab e husn hamara kamal dekh
Tujhko kisi bhi rang main dhalne nahi diya

Nazron se apni aap he girtay gaye hum
Ae ishq tu ne humko sambhalne nahi diya

Thori si wazaah dari thi to is dil k wastay
Tu ne tou is dil main wahem bhi palne nahi diya

Tehzeeb apni ki hay mohabat nay SAAD youn
Is dil ko humne had se nikalne nahi diya

(Saad Ullah Shah)

Kon tha....?

Be khawab lamhon ka paristaar kon tha
Itni udas raat main bay daar kon tha

Kis ko ye fiker thi k mohabat main kiya howa
Hum is per lar rahay thay k wafa daar kon tha

so (100) kishtiyaan jala k chalay sahilon se hamain
Ab tumko kia batain k us paar kon tha

Ye faisla to shayad waqt bhi na ker sakay
Sach bolta kon tha, Adaa kaar kon tha

Zamanay guzr gaye hain ye sochte howe
Main kisko kahon APNA, Mera gham khaawar kon hay

Monday, August 28, 2017

Tera Ishq....

Kia kahin kashaf o karamat main rakha howa hay
Ya tera ishq manajaat main rakha howa hay

Mujtahid! Ishq ki tafseer jo mumkin he nahi
Kis liye phir isay Ayaat main rakha howa hay

"Aen mumkin tha teray hath se jata rehta
Tu ne Acha kiya auqaat main rakha howa hay "

Kiya tamasha hay koi ishq thama ker sahab
Roz ik hijr meri ghaat main rakha howa hay

Main tou darya k safar k liye mozun bhi nahi
Tu ne sehra bhi meray hath main rakha howa hay

Dar sa rehta hay kahin toot na jaye MEESUM
Ye jo ik hubs mri zaat main rakha howa hay

(Poet :Meesum Ali Agha)

Mohabat ....


Wo durd ko ankhon se guzarne nahi deta
Sailab tou de deta hay, jharne nahi deta

Rehta tou hay ankhon main wo aaina baraber
Jab mujhko sanwarna ho, sanwarnay nahi deta

Khud toot k bikhron tou bikhar jaon bala se
Main durd ki dolat tou bikharne nahi deta

Phir mujhko utha deta hay daman ki hawa hay
Marne ka irada ho tou marnay nahi deta

Main us k dil e sakht main ghar kesay karon ga
Wo apni gali se bhi guzarne nahi deta

Main maail inkaar tou ho jata hon duniya
Dil mujhko mohabat se mukarne nahi deta

Yaad...

Jhunjhulaye hain, Lajaey hain, phir muskuraye hain
Is aehtamam se unhain hum yaad aye hain

Ab ja k aah kernay k adaab aye hain
Duniya samajh rahi hay k hum muskuraye hain

Guzare hain meh kady se jo toba k bad hum
Kuch dore aadat'tun bhi qadam larkharaye hain

Ab joo e garya,,, dekh , na kerna khajul mujhay
Ankhain teri zaroor hain, ansoo paraye hain

Ae moat,Ae baahisht e sakoon khush amdeed
Hum zindagi may pehle pehel muskuraye hain

Insaan jeete jee karain toba khata'on se
Majboriyon ne kitnay farishtay banaye hain

Sunday, August 13, 2017

Malal....

Bichertay howay usay koi malal tou hota
Ujer gaya hay koi ye khayal tou hota

Kisi sabab, kisi nisbat kisi talluq say
Nigah e yaar main koi sawal tou hota

Wo bewafa tou nahi magar phir bhi bewafai main
Jahan main koi bhi uski misal tou hota

Main pai'maal howa jis terha say mohabat main
Kuch is terha se koi Pai'maal to hota

Main uski raah main anakhain bicha tou don
Wo loat ayega ye ehtimaal tou hota

Maumlat e junoon k siwa SHUBI tumko
Kisi hunr, kisi fun main kamal tou hota...


Shubi Farooqui...poet

Nahi rahay....

Kitni badal chuki hay rut, jazbay bhi wo nahi rahay
Dil pay teray firaq k sadmay bhi wo nahi rahay

Mehfil e shab main guftugu howi tou ye khula
Batain bhi wo nahi rahin, lehjay bhi wo nahi rahay

Hulye badal k rakh diye shab e firaq nay
Anhain bhi wo nahi rahin, chehray bhi wo nahi rahay

Ye bhi howa k tere bad shauq e safar nahi raha
Jin pay bichay howay thay dil, raste bhi wo nahi rahay

Barson bad....

Sokhay hont, sulaghti ankhain, sarson jesa rang
Barson bad wo dekh ker mujhko reh jaye ga dung

Maazi ka wo lamha mujhko ajj bhi khoon rulaye ga
Ukhri ukhri sansain uski , gairon jesay dhung

Dil ko tou pehle he durd ki demak chat gai thi
Rooh ko bhi ab khataa jaye, tanhai ka zung

Inhe k sadqay Yarub meri mushkil asan kerde
Mere jesay aur bhi hain jo dil k hathon tang

Kyoon na ab apni choriyon ko kirchi kirchi ker dalon
Dekhi ajj aik sunder nari piyari piya k sang

Shabnam koi tujhse harey, jeet pay maan na kerna
Jeet wo hogi jab jeeto gi apnay ap se jang....

Bahana....

Thakun tou agle safar k liye bahana tha
Usay tou youn bhi kisi aur simat jana tha

Wahi chiragh bujha jiski loo qayamat thi
Usi pay zarb pari jo shajer purana tha

Matah e jaan ka badal aik paal ki sarshari
Salook khawab ka ankhon se tajirana tha

Hawa ki kaat shagoofon nay jazb kerli thi
Tabhi tou lehja e khushboo bhi jar e hana tha

Wohi firaq ki batain, wohi hiqayat e visl
Nai kitab ka aik ek warq purana tha

Kabaa e zer nigar khizan pay sajti thi
Tabhi tou chal ka andaz khusro'ana tha

Friday, August 11, 2017

Roag....

Roag aise bhi gham e yaar se lag jate hain 
Der se uthte hain tou devar se lag jate hain

Kat'ra'nain gham ki jo galiyon main uri phirti hain
Ghar main lay ao to anbaar se lag jate hain

Ishq aaghaz main halki se khalish rakhta hay
Bad me sainkaron aa'zaar se lag jate hain

Be'basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hay
Ro na paen to galay yaar k lag jate hain

Daagh daman k hon, dil k hon k chehre k Faraz
Kuch nishaan umr ki raftar se lag jate hain

Sur taal....

Saaz o awaz khad o khal main ajate hain
Saans leta hon to sur taal main ajate hain

Jang aur ishq main hare howay logon ki terha
Hum ghanimat k kisi mal main ajate hain

Zindagi khawab hay aur khawab ki qeemat lene
Jin ko ana ho kisi haal main ajate hain

Tu bhi saada hay kabhi chaal badalta he nahi
Hum bhi daa'nista tere chaal main ajate hain

Sham dhalte he kisi gosha e virani main 
Hum parindon ki terha jaal main ajate hain

Ab kis se kahain...?

Ab kis se kahain aur kon sunay jo haal tumhare baad howa
Is jheel se gehri ankhon main ik khawab bohat barbad howa

Ye hijr howa bhi dushman hay is naam k sare rangon ki
Wo naam jo mere honton per khushboo ki terha abaad howa

Is sheher k kitne chehre thay kuch yaad nahi sub bhoool gaye
Ik shaks kitabon jesa tha wo shaks zubani yaad howa

Wo apne gaon ki galiyan thin dil jin pe nachta gata tha
Ab is se farq nahi perta, na'shaad howa ya shaad howa

Be'nam sata'ish rehti thi in gehri sanwili ankhon main
Aisa tou kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be'daad howa

Tuesday, August 8, 2017

Maine apne saath bhi waqt guzari ki....

Din bhar khaak urai shab bedari ki
Mujhme aik chiragh ne matam dari ki

Tera shikwa sir ankhon per laikin yaar
MAINE APNE SAATH BHI WAQT GUZARI KI....

Dil k saathhe rakhi hay duniya bhi
Adha ishq aur adhi duniya dari ki

"""Rooh kisi ko , jism kisi ko sonp gaya
Waqt ne meray saath bari funkari ki"""

Meray aeb na dekh, meray kirdaar ko choro 
Maine tere saath kabhi gadaari ki????

Noohay perhne walay mujhko bhool gaye
Maine khud se khud he pursaa daari ki


Dedicated to me....

Dil ki baat...

Dil ki baat labon per la ker ab tak hum dukh sehte rahay
Humne suna tha is basti main dil wale bhi rehtay hain

Beet gaya sawan ka mahena, mausam ne nigaah badlin
Laikin in pyasi ankhon se ab tak ansoo behtay hain

Aik humain awara kehna koi bara ilzam nahi
Duniya wale dil walon ko aur bohat kuch kehtay hain

Jinki khatir sheher bhi chora, jin k liye badnam howe
Ajj wohi humse beganay beganay se rehtay hain

Wo jo bhi is raah guzr se chak garaibaan guzra tha
Is awara , dewane ko jalib jalib kehtay hain....

Pyar k nishan....

Sare khayal mit gaye sare malal dho diye
Usne to mere pyar k sare nishan kho diye

Kuch mausamon ka zaum tha kuch tha garur e zabt bhi 
Tere firaq main magar hum ansoonon se ro diye

Mudat ki arzoo k bad wo sab mile to youn mile
Kuch be rukhi k beej thay jo kasht e jan main bo diye

Kitna badal gaya hay wo, lehja he uska dekh lo
taney naye naye diye, nishter kai choboh diye

Aainge jab na ajj wo kesa chiragan ajj shab
roshan hain jinse baam o der sare utar do diye...

Uzer....

Khushi ki baat nahi hay koi fasanay main 
Qagarna uzer na tha aap ko sunanay main

Ye muntashir se ujalay, ye zindagi,ye sakoot
Tumhain pukar k aye hain ik zamanay main

Chaman se dor thay laikin bahaar e saman thay
Kuch aise phool bhi paida howe zamanay main

Zaroor dhokay main manzil se dor aa pohancha
jhijak raha hay bohat rehbar batanay se

Shakeeb meri khushi se kabhi jo khush na howe
Mujhay saroor mila un k muskuranay se