Wednesday, September 21, 2011

Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga..

Na yaqeen wajood pey kar ker, na rida e yaas main aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga

Mujhey raygaan na talash ker, main safar men tha, main safar men hoon
Kabhi noor-e-harf ki raah sey dil e khudshanaas main aaon ga

Tu hey ajnabi meri zaat sey kabhi pooch kerb ki raat sey
Main nehaan hoon maoj-e-farat sey,main nazar to piyas main aaon ga

Mujhey doosron sey talab na ker mujhey khud sey mang key dekhna
Main barang-e-aks e gohar numa kaf-e-iltamas main aaon ga

Meari justjoo ney jo dam lia, meray bekaraan ney kaha mujhey
Keh main aagahi sey hoon mawara na had-e-hawaas main aaon ga

Mujhey ab tu shok sey bhool ja, yeh naz kam to nahin keh main
Teri chahton ki kitab key kisi iqtabas main aaon ga

Kabhi mujh ko MOHSIN naey dinon ki tapash men dhonday ga wo kahin
Kabhi yad us ko gaey dinon key safar ki baas main aaon ga

Teray Liye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??

Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati..??
Ab Roozn-e-Zindaa'n Say Hawa Kyun Nahe Aati..??

Tu Ab Bhi Salamat Hay Safar Mein Toa Musafir...!!
Teray Leye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??

Pathar Hoo Toa Kyun Khoof-e-Shab-e-Gham Say Ho Larzaa'n..??
Insaan Hoo Toa Jeenay Ki Aadaa Kyun Nahe Aati..??

Ek Pairr Kay Saaye Say Hawa Pooch Rahi Hay...!!
Ab Dasht mein Makhlooq -e -Khuda Kyun Nahe Aati..??

Chehroon Peh Woh Sarsoon Ki Dhanak Kya Howi Yaroo..!!
Hathoon Say woh Khushboo-e-Hina Kyun Nahe Aati...??

Bastii Mein Sabhi Log Salamath Hein Toa Mohsin ...!!
Awaaz Koi Apnay Siwa Kyun Nahe Aati....??

Mohsin Naqvi

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say.....

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Rok Na Mujh Ko Pass Anay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ab Mujhay Chorr Kay Na Jana Tum
Dil Mera Torr Kay Na Jana Tum


Tum Tu Aaye Ho Zamanay Say
Kho Na Jana Kisi Bahanay Say

Jaan Jatay Hay Teray Janay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ishq Chupta Nahin Zamanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Meray Mehbob Kiya Tumhay Hay Khabar
Har Jaga Tum Ko "Dhoondti Hay Nazar"

Dekh Kay Tum Ko Jeeta Marta Hoon
Har Ghari Yaad Tum Ko Karta Hoon

Bhool Sakta Nahi Bholanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Ishq Chupta Nahin Chupanay Say
Tera Ashiq Hoon Main Zamanay Say

Apnay Haathon Say Yon Chehray Ko Chupatay Kyun Ho ?


Apnay Haathon Say Yon Chehray Ko chupatay Kyun Ho
Mujh Say Sharmatay Ho Tu Saamnay Aatay Kyun Ho


Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo Iqraar -e- Wafa
Pyaar Kartay Ho Tu Pher, Pyaar Chupatay Kyun Ho.


Ashq Aankhon Main Meray Dekh Kay Rotay Kyun Ho
Dil Bhar Aata Hay Tu Pher Dil Dukhatay Kyun Ho


In Say Vabasta Hay Jab Mera Muqaddar Phir Tum
Meray Shano Say Ye Zulf Hatatay Kyun Ho


Roz Mar Mar Kay Mujhay Jeenay Ko Kehtay Ho
Milnay Aatay Ho Tu Phir Lout Kay Jatay Kyun Ho

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi .....

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi
Yeh Honton Pay Muskaan Kesi

Tanha Akeli Kaha Ghum Ho Tum
Kin Udasiyon Ko Dil Mai Basai Hoi Ho Tum

Lagta Hay Yon Kuch Kho Gaya Hain
Jisey Yoon Dhoond Rahi Ho Tum

Is Ghum Ko Bhula Do Tum
In Tanhyion Ko Rafa Ker Do Tum

Yaad Kero Apnay KHUDA Ko Tum
Yaqeen Aur Aitamaad Rekho Usi Per Tum

Muraday Pori Karnay Wala Hay Bas Ak Wohi
Khushyan Or Muskurahatey Mang Lo Usi Say Tum

Aao Mera Haath Tham Lo Tum
Tanhaii Ko Chorr Ker Zindagi Ko Apna Lo Tum

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay .....

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay
Woh Haaray Nahi Hain Jafa Kartay Kartay

Hum Tang Aa Gaye Hain Unhain Mana Mana Kar
Woh Thakay Nahi Hain Khafa Kartay Kartay

Uthaye Jo Hath Dua Kay Liye Tu Ruk Giya
Ek Arsa Ho Giya Hai Khata Kartay Kartay

lagta hai keh mosam k ishaaray nahi achay...

kehta hi raha tujhse keh piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se to abaad hai yeh shehar-e-muhabbat
kehte ho jinhain dard k maaray nahi achay

is shehar mein tera bhi koi jurm to hoga
ilzaam meri zaat pe saaray nahi achay

aise to parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai keh mosam k ishaaray nahi achay