Wednesday, September 21, 2011

Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga..

Na yaqeen wajood pey kar ker, na rida e yaas main aaon ga
Jo libas tujh ko pasand ho main usi libas main aaon ga

Mujhey raygaan na talash ker, main safar men tha, main safar men hoon
Kabhi noor-e-harf ki raah sey dil e khudshanaas main aaon ga

Tu hey ajnabi meri zaat sey kabhi pooch kerb ki raat sey
Main nehaan hoon maoj-e-farat sey,main nazar to piyas main aaon ga

Mujhey doosron sey talab na ker mujhey khud sey mang key dekhna
Main barang-e-aks e gohar numa kaf-e-iltamas main aaon ga

Meari justjoo ney jo dam lia, meray bekaraan ney kaha mujhey
Keh main aagahi sey hoon mawara na had-e-hawaas main aaon ga

Mujhey ab tu shok sey bhool ja, yeh naz kam to nahin keh main
Teri chahton ki kitab key kisi iqtabas main aaon ga

Kabhi mujh ko MOHSIN naey dinon ki tapash men dhonday ga wo kahin
Kabhi yad us ko gaey dinon key safar ki baas main aaon ga