Wednesday, September 21, 2011

ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai...

ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai
ham bhi dekhein, dard k sehara mein aisa kon hai

aik lamha hi guzar jaaye kaheen tere baghair
dil ko samjhaya to hai, lekin samjhta kon hai

meri be-aawaaz tanhaai bataaye kiya mujhe
shehar mein hai jis ki khaatir shor barpaa, kon hai

sar pe yeh jaltay huwe suraj ko andaazaa nahi
bay-talab is dasht mein ghar se nikalta kon hai

kho gayee hai waqt ki lehron mein sachaii to kiya
waqt hi khud faisla kerta hai, sacha kon hai

aik se is shehar mein hain aashna na aashna
kiya bataain tujh ko meri jaan keh kaisa kon hai

din ka suraj kiya uthaayega meri raaton ka gham
aur phir khalid kisi ka bohj uthaata kon hai