Wednesday, September 21, 2011

us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par...

apni he rawani men behta nazar aata hai
yeh shehar bulandi say darya nazar aata hai

deta hai koi apnay daaman ki hawa isko
shola sa meray dil men jalta nazar aata hai

us haath ka tohfa tha ik daagh meray dil par
wo daagh bhi ab lekin jata nazar aata hai

aankhon kay muqabil hai kesa yeh ajab manzar
sehra to nhi hai lekin sehra nazar aata hai

ik shakal see banti hai her shab meri neendon men
ik phool sa khavabon men khilta nazar aata hai

aankhon nay nhi dekhi us jism ki ranaaee
yeh chaar taraf jis ka saya nazar aata hai

darya ko kinaray say kaya dekhtay rehtay ho
ander say kabhi dekho kesa nazar aata hai

phir zau men nadeem apni kuch kum hai sitara woh
yeh raat ka aaina dhundla nazar aata hai