Thursday, September 8, 2011

Fursat...

Milay gham se apne fursat to sunaon vo fasana
K tapak pare nazar se may-e-ishrat-e-shabana

Yahi zindagi musiibat yahi zindagi musarrat
Yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana

Kabhi dard ki tamanna kabhi koshish-e-madava
Kabhi bijliyon ki Khawhish kabhi fiqr-e-aashiyana

Mere kehkahon k zad par kabhi gardishain jahan ki
Mere ansuon ki rau main kabhi talkhi-e-zamana

Kabhi main hun tujhse naala kabhi mujhse tu pareshan
Kabhi main tera hadaf hun kabhi tu mera nishana

Jise paa saka na zahid jise chuu saka na sufi
Vahi teer chairta hai mera soz-e-shayarana