meri aankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka
bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki
chaar harfon se ibarat hai fasana dil ka
us ne dali hi nahin bheek nazar kee aur main
liay aankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka
saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai
dil dharakta hai tau lag jata hai dharka dil ka
issi koshish main buhat umar ganwa di main ne
phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka
meri payaab tamanna’in batati hain mujhay
sookh jaye ga koi roz main darya dil ka
badli badli si sada deti hai dharkan dil ki
hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka
kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain
iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka
fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay
teri dunya se ziada hai asaasa dil ka
us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sim sim
khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka
ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"
aqal dekhi gi abhi aur tamasha dil ka