Is DIL Nay Teray Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Hadd Ye Keh Dharaknay Ki Jasarat Bhi Nahi Ki
Tabeer Ka Ahzaaz Howa Hay Usay Hasil
Jis Nay Meray Khowabon Main Sharakat Bhi Nahi Ki
Ulfat Tu Bari Baat Hay Hum Say Tu Sar -e- Shehar
Logon Nay Kabhi Dhang Say Nafrat Bhi Nahi Ki
Aadab -e- Safar Ab Wo Seekhatay Hain Jinho Nay
Do Chaar Qadam Tay Ye Musafat Bhi Nahi Ki
Kia Apni Safaii Main Bayaan Detay Keh Hum Nay
Na Karda Gunahi Ki Wazahat Bhi Nahi Ki
Khamosh Tamashaii Kay Manind Sar -e- Bazam
So Zakham Sahay Dil Pay, Shikayat Bhi Nahi Ki
Us Ghar Kay Sab Hi Log Mujhay Chornay Aaye
Dehleez Talak Us Nay Ye Zehmat Bhi Nahi Ki
Us Nay Bhi Gulamon Ki Safa'on Main Humay Rakha
Is DIL Pay Kabhi Jis Nay Hakomat Bhi Nahi Ki