Wednesday, September 21, 2011

kidhar say ho kay bahaaroN kay kaarwaaN guzray?

Chaman ka haal to yeh hay keh khaak urrti hay
kidhar say ho kay bahaaroN kay kaarwaaN guzray

dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
qadam, qadam pay naya day kay imtehaaN guzrey

saba bhi aai to phooloN kay muNh jhulsa kay gai
yahaaN say abr bhi barsaa kay bijliyaaN guzray

kabhi to waar raqeeboN kay day gaey thay mazaa
kabhi to pyar azeezoN kay bhi giraaN guzray

ay dil sambhal keh kisi ko hisaab daina hay
keh zindagaani kay lamhey kahaN, kahaN guzray