Wednesday, September 21, 2011

Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay

Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mataa-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay

yeh Zindagi kay Niraalay Mosam humain to ab tak samajh na aaey
jo yaad-gaar-e-Hayaat thehrey they ab tak wuhi wabaaL Lamhay

Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL ke bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gaey haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay

Humain bhala kab khabaR thi JanaN,humain bhaLa kab pata tha JanaaN
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gay aesii bhii chaaL Lamhay

Humain to apna aap bhii ab shifaaF dikhtaa nahiN hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gaey haiN yeh kesi Gard-e-malaaL Lamhay