Sunday, March 31, 2013

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha



Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha Hamara Dil Dukhana Chahiye Tha
Aana Na Aana Meri Marzi Hai Tumko To Bulana Chahiye Tha

Hamari Khwahish Ek Ghar Ki Thi Use Sara Zamaana Chahiye Tha
Meri Aankhe Kaha Nam Hui Thi Samundar Ko Bahana Chahiye Tha

Jaha Par Panhuchna Main Chahta Hoon Waha Pe Panhuch Jana Chahiye Tha
Hamara Zakhm Purana Bahut Hai Chargar Bhi Purana Chahiye Tha

Mujhse Pahle Wo Kisi Aur Ki Thi Magar Kuch Shayrana Chahiye Tha
Chalo Mana Ye Choti Baat Hai Par Tumhe Sab Kuch Batana Chahiye Tha

Tera Bhi Shaher Me Koi Nahi Tha Mujhe Bhi Ek Thikana Chahiye Tha
Ke Kis Ko Kis Tarah Se Bhoolte Hain Tumhe Mujhko Sikhana Chahiye Tha

Aisa Lagta Hai Lahoo Mein Humko Kalam Ko Bhi Dubana Chahiye Tha
Ab Mere Saath Rah Ke Tanz Na Kar Tujhe Jana Tha Jana Chahiye Tha

Kya Bas Maine Hi Ki Hai Bewafaai Jo Bhi Sach Hai Batana Chahiye Tha
Meri Barbadi Pe Wo Chahta Hai Mujhe Bhi Muskurana Chahiye Tha

Bas Ek Tu Hi Mere Saath Mein Hai Tujhe Bhi Rooth Jana Chahiye Tha
Humare Paas Jo Ye Fan Hai Miya Hume Is Se Kamana Chahiye Tha

Ab Ye Taaj Kis Kaam Ka Hai Hume Sar Ko Bachana Chahiye Tha
Usi Ko Yaad Rakha Umar Bhar Ke Jisko Bhool Jana Chahiye Tha

Mujhse Baat Bhi Karni Thi Usko Gale Se Bhi Lagana Chahiye Tha
Usne Pyaar Se Bulaya Tha Hume Mar Ke Bhi Aana Chahiye Tha

Tumhe ‘Satlaj’ Use Pane Ke Khatir Kabhi Khud Ko Gawana Chahiye Tha!!

TuMhein Jafa Se Youn Na Baaz Aana Chahiye Tha,



TuMhein Jafa Se Youn Na Baaz Aana Chahiye Tha,
Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahiye Tha,

Taveel Raat Ke Pehloo Mein Kab Se Soye Hai,
Naveed-E-Subah Tujhe Jaag Jaana Chahiye Tha,

Bujhe Chiragon Mein Kitne Hai Jo Jale Hi Nahi,
Savaad-E-WaQt Inhe JagMagana Chahiye Tha,

Ajab Na Tha Ke Qafas Saath Le Ke Ud Jaate,
Tadapna Chahiye Tha Pharpharana Chahiye Tha,

Ye Meri Haar Ke Karya-E-Jaan Se Haara Magar,
Bichhadne wale Tujhe Yaad Aana Chahiye Tha,

TaMaM UMar Ki Aasudgi-E-Visal Ke Baad,
FiraaQ Aakhri Dhoka Tha Khana Chahiye Tha...

Thursday, November 15, 2012

Wafa ki aarzoo krna Safar ki justuju krna




Wafa ki aarzoo krna
Safar ki justuju krna
Jo tum mayoos ho jao
Tou mujh se guftugu krna
Ye aksar ho bhi jata hai
K koi kho bhi jata hai
Agr tum hosla rkho
Wafa ka silsila rkho
Jo tum ko apna kehta ho
Tou uss se rabta rkho
Mai daway se kahti hou
Kabhi nakaam na hoge

Monday, September 24, 2012

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao...

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa jao
Bohat Tanha Hoon Mai Aaj Kaash Tum Aa Jao

Kabhi Khud Ko Itna Kamzour Na Hone Dia Mene
Par Aaj Bikhar Gaya Hoon Kaash Tum Aa Jao

Tum Se Miltay Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe
Chahiye Aaj Bahoon Ka Sahara Kaash Tum Aa Jao

Barson Se Jee Raha Hoon Bin Tere Aey-Jaan-e-Wafa
Aaj Nahi Guzar Raha Aik Pal Kaash Tum Aa Jao 

Waqt Ki Raftaar Bhi Jaisay Tham Si Gai Hai
Tham Na Jaye Meri Saansey Kaash Tum Aa Jao

Apki yaad aati rahi raat bhar ...

Apki yaad aati rahi raat bhar 
Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar 

Raat bhar dard ki shama jalati rahi 
Gham ki lau thartharati rahi raat bhar 

Bansuri ki sureeli suhani sadaa 
Yaad ban ban ke aati rahi raat bhar 

Yaad ke chand dil mein utartey rahe 
Chandani jagmagati rahi raat bhar 

Koi deewana galiyon mein phirta raha 
Koi awaz aati rahi raat bhar

Lahoo main rung lehranay lagay hain....

lahoo main rung lehranay lagay hain
zamanay khud ko duhranay lagay hain 

paroo'n main lay kay bay hasil uranai'n
parinday laut kar anay lagay hain

kahan hay qafila baad_e_saba ka!
diloo'n kay phool murjhanay lagay hain

kuch aisie bay yaqini thi fiza main
jo apnay thay Woh bay ganay lagay hain

khula hay raat ka tareek jungle
aur andhay rah dikhlanay lagay hain

bachanay aayeey thay deewar laken
imarut hi ko ub dhanay lagay hain

AMJAD ISLAM AMJAD

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo...

Udas shamon mein hum say milnay ajaya karoo
Kabhi tum bhi rasmemohabat nibha jaya karo

Andhera he andhera hay in rahon mein
Tum he koi diya aakay jalajaya karo

Hum he tumhein yaad kartay rahein kiya umrbhar
Kabhi tum bhi humari khatir ansoo baha liya karo

Ghanay darkht ki thandi chaya hotay hein
Apnay buzrogon ki duain lay kay bahar jaya karo

Sari duniya he udas dikhai deti hay "Jaan"
Tum he kisee ko dekh kay muskura liya karo