Sunday, January 8, 2012

PhooloN ki tehniyoN pe nasheman banaaiye...


PhooloN ki tehniyoN pe nasheman banaaiye
Bijlee gire to jashn-e-charaaghaaN manaaiye

KaliyoN ke ang ang me meetha sa dard hai
beemaar nikahatoN ko zaraa gud-gudaaiye

Kab se sulag rahi hai javaani ki garm raat
ZulfeN bikher kar mere pehloo men aaiye

Behkee hui siyah ghataaoN ke saath saath
Ji chahataa hai shaam-e-abad tak to jaaiye

Sun kar jise hawas me thandak si aa base
Aisi koee udaas kahaani sunaaiye

Raste pe har qadam pe Kharabat haiN "Adam"
Ye haal ho to kis tarah daaman bachaaiye

Abdul Hameed Adam

Main janta tha hijr main wo moR aayega....

Main janta tha hijr main wo moR aayega
tujhko bhi chandni main samandar rulayega

puuchega jab koi terey haalat e zindagi
tu us ko duusron k fasaaney sunayega

dil sokhta mile ga tujhey jab kaheen koi
shiddat se aik shakhs tujhey yaad aayega

jo baat bhuulne ki hai yaad aayegi tujhe
rakhna hai jisko yaad usey bhool jayega

suntey hain keh diya hai wo lagon se bar bar
ab umr bhar wo dil na kisi ka dukhayega

khush fehm uske wada e paiman par to hoon
dekhoon wo kitna sabr mera aazmayega

tareek bam o dar men na rakkhe ga be charagh
wo merey dil men dard ki shammen jalayega

Aitebaar Sajid

Us Zakhm-e-Jaan K Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara....

Us Zakhm-e-Jaan K Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara
Us Zinda'Dil K Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara
Us Zindegi K Naam, Guzaara Nahi Jisey
Us Qarz-e-Fun K Naam, Utaara Nahi Jisey
Ehl-e-Nazar K Naam, jo Johar Shanaas Hain
Ehl-e-Wafa K Naam, Jo Fun ki Asaan Hain
Un Doston K Naam, Jo Gosha'Nasheen Hain
Un Be'Hisson K Naam, Jo Baar-e-Zameen Hain
Un Be'dilon K Naam, Jo Har Dam Malool Hain
Un Be'bason K Naam, Jo Gamlon ke Phool Hain
Un Ehl-e-Dil K Naam, Jo Raahon ki Dhool Hain
Un Hoslon K Naa , Jinhein Dukh Qabool Hain
Us Shola'Rukh K Naam K Roshan Hai Jis Se Raat
Hai Zofishaan Andherey Mein Hai Nuqta-e-Kitaab
Aur Husn-e-Baa-Kamaal ki Raanaaiyon K Naam
Aur Apney Zehn-o-Qalb ki Tanhaaiyon K Naam

Aitebaar Sajid

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki...

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki
Kahein aag saazishon ki kahein aanch nafraton ki

Koi baagh jall raha hai ye magar meri duaa hai
Mere phool tak na pahunchay ye hawa tamazaton ki

Mera kon sa hai mausam mere mausamon ke wali
Ye bahaar be'dili ki ye khizaan muhabbaton ki

Main qadeem baam-o-dar main unhen ja ke dhoondta hoon
Wo dayaar nikhaton ke wo fizaayein chahaton ki

Kahein chaand ya sitaare huye hum'kalaam mujh se
Kahein phool seeRhiyon ke kahein jhaaRiyan chaton ki

Mere kaaghzon main shayd kahein ab bhi so rahi ho
Koi subha gulstaan ki koi shaam parbaton ki

Aitebaar Sajid

Chahat Ki Rehguzar Mein Tijaarat Nahi Karo...


Chahat Ki Rehguzar Mein Tijaarat Nahi Karo
Aisa Hi Shoq Hai To Mohabbat Nahi Karo

Jab Dil Se Har Qasoor Ko Tasleem Kar Liya
Lafzon Mein Baar Baar Wazaahat Nahi Karo

Saansein Meri Na Qaid Karo Sood Ke Iwaz
Mujh Se Wasool Jeeney Ki Qeemat Nahi Karo

Naqsha Merey Bazurgon Ne Is Ka Banaya Tha
Taqseem Baam-o-Dar Ki ye Jannat Nahi Karo

Ik Aakhri Panaah To Rehney Do Merey Paas
Mujh Se Juda Ye Ghar, Ye Meri Chatt Nahi Karo

Tum Zar'Khareed Munsif-o-Aadil Ho , Is Liye
Merey Mua'amley Ki Samaa'at Nahi Karo

Aitebaar Sajid

BheeR hai bar'sar e bazaar kahein aur chalain...

BheeR hai bar'sar e bazaar kahein aur chalain
Aa merey dil merey gham'khuwaar kahein aur chalain

Koi khiRki nahi khulti kisi baagheechay mein
Sans lena bhi hai dushwaar kahein aur chalain

Tu bhi maghmoon hai mein bhi hoon bhout afsurda
Dono is dukh say hain do'chaar kahein aur chalain

Dhondtay hain koi sar'sabz khushada si fiza
Waq't ki dund kr us paar kahein aur chalain

Ye ju phoolon say bhara shehar howa karta tha
Is ke manzer hain dil'azaar kahein aur chalain

Aisay hangama e mehsher mein tu damm ghutta hai
Baaatain kuch karni hain is baar kahein aur chalain

Aitebaar Sajid

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana...

Meri raaton ki raahat din ka itme'anan ley jaana
Tumharay kaam aa jaaye ga,Ye samaan ley jaana

Tumharay baad kia rakhna anaa say waasta koi?
Tum apnay sath mera um'r bhar ka maan ley jaana

Shikasta k kuch raizay phaRay hain farsh per, Chun lo
Ager tum joR saktay ho to ye ghuldaan ley jaana

Udhar almariyon mein chand oraaq e pershaan hain
Merey ye baaqi'manda khwaab meri jaan ley jaana

Tumhain aisay to khali hath rukhsat kar nahi saktay
Puraani dosti hai is ki kuch pehchaan ley jaana

Irada kar liya hai tum ne ghar sach much bichaRnay ka
To phir apnay ye saaray waada o pimaan ley jaana

Ager thoRi bohat hai shairy say un ko dil'chaspi
To un k saamnay tum mera ye deewan ley jaana

Aitebaar Sajid