Sunday, January 8, 2012

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki...

Main kisey suna raha hoon ye ghazal muhabbaton ki
Kahein aag saazishon ki kahein aanch nafraton ki

Koi baagh jall raha hai ye magar meri duaa hai
Mere phool tak na pahunchay ye hawa tamazaton ki

Mera kon sa hai mausam mere mausamon ke wali
Ye bahaar be'dili ki ye khizaan muhabbaton ki

Main qadeem baam-o-dar main unhen ja ke dhoondta hoon
Wo dayaar nikhaton ke wo fizaayein chahaton ki

Kahein chaand ya sitaare huye hum'kalaam mujh se
Kahein phool seeRhiyon ke kahein jhaaRiyan chaton ki

Mere kaaghzon main shayd kahein ab bhi so rahi ho
Koi subha gulstaan ki koi shaam parbaton ki

Aitebaar Sajid