Sunday, January 8, 2012

band dareechay, sooni galiyaan an'dekhey anjaney log...

band dareechay, sooni galiyaan an'dekhey anjaney log
kis nagri mein aa nikley hain Sajid ham deewaney log

aik hamhin na'waqif thehrey roop nagar ki galiyon say
bhes badal kar milney waley sab janey pehchaney log

din ko raat kahein so bar'haq, subha ko sham kahein so khoob
aap ki baat ka kehna hi kya, aap huye farzaney log

shikwa kya aur kaisi shikayat, aakhir kuch bunyad to ho
tum par mera haq hi kya hai, ham thehrey beganey log

shehr kahan khali rehta hai, ye darya har dam behta hai
aur bohat say mil jayein gay, ham aisey deewaney log

suna hai uske ehd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti
un galyon mein har har saans pe bhartey hein jurmaney log

Aitebaar Sajid