Monday, January 2, 2012

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya...

Muskara Kar Naza’a Ki Mushkil Ko Asaan Kardiya,
Un Ke Sadqey, Mujh Pe Khuddari Ko Qurbaan Kardiya.

Youn Bhi Sahil Tak Phohanch Jatey Hein Ahl-e-Etibaar,
Mein Ne Kashti Ko Sapurd Mauj-e-Toofaan Kardiya.

Aur Ab Kya Chahti Hey Mujh Se Dunya Ba’ad Marg,
Mein Ne Raushan Manzar-e-Gor-e-Gharibaan Kardiya

Maut Ab Aajaye, Mein Jam-e-Mohabbat Pi Chuka,
Mein Ne Apne Hashar Tak Jiney Ka Samaan Kardiya

Kayenaat-e-Husn Ka Ek Harba-e-Masoom Tha!,
Woh Tabassum Jis Ne Peda Zauq-e-Esyaan Kardiya

Rakh Diya Zer-e-Zameen Mulzim Bana Kar Maut Ka,
Mujh Ko Naseer Un Ke Jalwe Ne Jo Hayraan Kardiya