terey jaisa mera bhi haal tha, na sakoon tha na qaraar tha
ya'hi um'r thi merey ham'nasheeN ke kisi se mujh ko bhi pyaar tha
ma samajh raha tha teri kasak, tera mera dard hai mush'tarik
isi gham ka tu bhi aseer hai, isi dukh ka ma bhi shikaar tha
faqat aik dhun thi ke raat din usi khwaab'zar ma ghum raheiN
wo suroor aisa suroor tha, wo khumaar aisa khumaar tha
kabhi lamha bhar ki bhi guftaguu meri us ke saath na ho saki
mujhey fursateiN na mil sakeiN, wo hawa ke rath pe sawaar tha
ham ajeeb tarz ke log they ke hamaarey aor hi rog they
ma khizaaN ma us'ka tha muntazir, ussey intezaar-e-bahaar tha
isey paRh ke tum na samajh sakey ke meri kitaab ke roop ma
koii qarz tha kaii saal ka, kaii rat'jagoN ka udhhaar tha
Aitebaar Sajid