Dukhoun Ki Shiddatien Zakhmon Ki Gehraii Mujhey Dey Do
Maseeha Tum Sahii Azn E Maseehaii Mujhey Dey Do
Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman Ho Tum Ko Kya Gham Hai
Main Tanha Hoon Ye Zouq E Bazm Aaraii Mujhey Dey Do
Tum Apney Dil Key Darwazey Muqaffal Shouq Sey Kar Lo
Bas Apni Zaat Sey Azn E Shanasaii Mujhey Dey Do
Tumharey Baad Har Manzar Mujhey Be'Rung Lagta Hai
Ye Aankhien Cheen Lo Ya Apni Beenaii Mujhey Dey Do
Main Sanson Mein Samo Loon Ga Tumharii Har Amanat Ko
Ye Wehshat-Naak Sannaatey Ye TANHAII Mujhey Dey Do
Meri Shohrat Tumhaarey Kaam Aa Jaye To Haazir Hai
Tumhien Dunya Ne Bakhshii Hai Jo Ruswaai Mujhey Dey Do
Main Shayar Hoon Meray Be-Kaif Be-Taseer Lafzon Ko
Amar Kar Do Tum Apney Ghum Kii Ra’anaii Mujhey Dey Do
Aitebaar Sajid