Sunday, January 8, 2012

Main janta tha hijr main wo moR aayega....

Main janta tha hijr main wo moR aayega
tujhko bhi chandni main samandar rulayega

puuchega jab koi terey haalat e zindagi
tu us ko duusron k fasaaney sunayega

dil sokhta mile ga tujhey jab kaheen koi
shiddat se aik shakhs tujhey yaad aayega

jo baat bhuulne ki hai yaad aayegi tujhe
rakhna hai jisko yaad usey bhool jayega

suntey hain keh diya hai wo lagon se bar bar
ab umr bhar wo dil na kisi ka dukhayega

khush fehm uske wada e paiman par to hoon
dekhoon wo kitna sabr mera aazmayega

tareek bam o dar men na rakkhe ga be charagh
wo merey dil men dard ki shammen jalayega

Aitebaar Sajid