Tujh se bichaR k aankh ko num kis liye karen
Tujh ko melaal nahi to hum kis liye karen
Duniya ki be'rukhi to nahi hai koi jawaaz
Is sheddat-e-khaloos ko kam kis liye karen
Taa um'r qurbton ka tu imkaan he na tha
Aakhir faraq-e-yaar ka ghum kis liye karen
Apna janoon o daad-o-sataysh se be'neyaz
Pher be khudi ka haal raqum kis liye karen
Jin ke liye ufaq pe chamkte hain raastey
Matti pe sabt naqsh-e-qadam kis liye karen
Manoos ho chuke hain anderon say apne log
Ab ehtejaaj e subh e karam kis liye karen
Saajid koi nayi to nahi hai yeh teergi
Aakhir malaal-e-shaam e alam, kis liye karen
Aitebaar Sajid